Header Ads

Doodh mein chhuhare ubaal kar khane aur peene ke fayde.

Doodh mein Chhuhaare ubaal kar peene aur khane ke fayde. Benefits of Dry Dates milk in Hindi/Urdu.
Chhuhare khane ke fayde bahut hain, Chhuaare ko Dry fruits ki category mein rakha jata hain. Kyonki yeh sookhe huye khajoor hi hote hain. Ise khane se hame dher saare fayde milte hain. Lekin kya aapko pata hain ki chhuaaro ko agar doodh mein ubaal kar khane aur doodh ko peene ke aur bhi jyada fayde hain.

Ji haan aaj hum aapko Chhuhare wala doodh peene ke fayde ke baare mein batayenge. Benefits of Dry Date with milk in Hindi/Urdu.

Chhuaaro mein Vitamins aur Minerals jaise Calcium, Iron, Magnesium, Zinc, Fiber aadi bharpoor matra mein paye jate hain. Doodh mein chhuhaaro ko ubaal kar peene se Cancer, heart disease aur indigestion jaisi problems mein fayda hota hain. Itna hi nahi Chhoohare wala doodh peene aur chhooharo ko doodh mein ubaal kar khane se weight gain karne mein bhi madad milti hain. Aaiye jante hain chhuhaaro ko doodh mein ubaal kar kyon khana peena chahiye.

Chhooaare ko doodh mein ubaal kar peene aur khane ke fayde :-


• Chhuhare mein magnesium paya jata hain jo body ke sugar level ko control karta hain. Isse diabetes hone ka khatra door hota hain.

• Chhuharo mein paya jane wala Fiber Colon ko saaf karta hain jisse colon cancer hone ka khatra kafi kam ho jata hain.

• Chhooara Vitamin B ka bahut hi accha source hain jisse skin fresh aur healthy banti hain. Isme paya jane wala Vitamin A naye cells ko banata hain.

• Chhooharo mein potassium hota hain. Inhe doodh mein ubaal kar peene se pet dard aur diarrhoea jaisi problems khatm ho jati hain.

• Chuhare mein potassium hota hain jo cholesterol ko kam karta hain. Jisse dil se related kai saari problems se chhutkara milta hain.

• Dry Dates mein Dietary Fiber hote hain, jinse Digestion theek rahta hain. Doodh mein chhuaare ubaal kar peene aur khane se aapko fark dikhne lagega.

• Chhuaaro mein paya jane wala Vitamin B5 Baalo ko jhadne aur do moohe baalo jaisi problems ko door karta hain. Yeh baalo ko lamba aur ghana banane mein madadgar hota hain.

• Chhuharo mein mauzood Fluoride minerals daanto ko sadne se bachata hain aur unhe majboot banata hain.

• Chhuhare mein Sugar, Carbs, Protein aur Minerals ki quantity kafi jyada payi jati hain. Aur yeh wajan badhane mein help karta hain. Aise mein daily doodh mein chhuare ubaal kar peene aur khane se health banti hain.

• Chhuharo mein Selenium, Calcium, Manganese, copper jaise minerals hote hain. Inhe doodh mein ubaal kar rojana peene se haddiya majboot banti hain.