Piliya hone par kya khana chahiye?
Masaum ke badalne ke saath hi Piliya (Jaundice) hone ka khatra bhi badh jata hain. Piliya hone par Ayurveda mein bahut hi kargar treatment bataye gye hain. Ayurveda ke doctots ki maane toh Makoy ke patto ko garm paani mein ubaal kar peene se piliya bahut jaldi theek ho jata hain. Piliya ko door karne ke liye Makoy bahut hi chamatkari paudha hain, Ise kisi bhi tarah lene se yeh health ke liye faydemand hota hain.
Doctors kahte hain ki Jaundice hone par mareez ka sharir peela ho jata hain. Is sitaution mein rogi ko jyada se jyada matra mein paani pilaye. Kyonki paani ki kami hone par body dwara paida hone wale tatv khoon mein mil jate hain. Jisse mareez ki haalat aur bhi jyada bigadne lagti hain. Agar piliya ke mareez ko kacche papite ka salad khilaya jaye toh Piliya mein usay kafi aaram milta hain.
Kai log yeh maante hain ki Piliya ki bimari hone par meetha nahi khana chahiye, lekin Ayurveda kahta hain ki Jaundice mein mareez ko gaay ke doodh se bana paneer aur chaine se bana rasgulla khilaya ja sakta hain. Iske alawa Piliya hone par kya khana chahiye? aaj hum iske baare mein aapko batane ja rahe hain.
1. Ganne ka juice :- Jab aapko piliya ho jaye toh Ganne ka juice jaroor peena chahiye. Isse piliya ko theek hone mein bahut madad milti hain.
2. Tamatar ka juice :- Tamatar mein Lycopene aur Vitamin C paya jata hain jo ki ek asarkaari Antioxidants hain. Isliye Tomato Juice liver ko healthy banane mein faydemand hota hain.
3. Tulsi ke patte :- Tulsi ke patte khane se Piliya mein jabardast fayda hota hain. Isliye subah khali pet tulsi ke 4-5 patte khane se Liver saaf ho jata hain aur Piliya jaldi se theek ho pata hain.
4. Dahi :- Dahi asaani se pach jati hain aur yeh pet ko Probiotic deti hain. Yeh ek accha Antibacterial hota hain jo jaundice se ladne mein aapki madad karta hain.
5. Mooli ka ras :- Mooli ke ras mein itni power hoti hain ki vah khoon aur liver se extra Bilirubin ko nikaal sakti hain. Piliya ke mareez ko din mein 2 se 3 glass Mooli ka juice jaroor peena chahiye.
6. Nimbu ka ras :- Nimbu ka ras paani mein mila kar peene se pet saaf hota hain. Nimbu paani ko khali pet subah peena jyada faydemand hoga.
7. Jau :- Jau aapke liver se saari gandagi ko saaf karne mein aapki madad karta hain.
8. Ananas :- Ananas ko khane se sharir ki androoni safaai ho jati hain.
9. Dhaniya ke beej :- Dhaniya ke beej raat bhar paani mein bhigo dijiye aur usay subah pee lijiye. Dhaniya ke beej wala paani peene se liver se gandagi saaf ho jati hain.
10. Amla :- Amla Vitamin C ka sabse best source hain. Aap Kaccha Amla ya Dry Amla kisi ko bhi kha sakte hain. Iske alawa Liver se gandagi ko saaf karne ke liye Amla Juice peena faydemand hota hain.

Piliya hone par kya khana peena chahiye ?

Post a Comment