Salad aisa banaye ki jisse mile aapko jyada benefit.
Khane ke saath Salad bhi khaya jata hain. Salad body ko energy deta hi hain, saath hi khane ko jaldi se hazam karne mein bhi madad karta hain. Jyadatar log Salad banane ke liye Sabzi aur Phalo ko mix karte hain. Lekin dosto salad banane ka ek tarika hota hain. Hamar Salad aisa hona chahiye jo hame khoob saari energy de, na ki bina energy wala ho.
Salad mein bahut jyad mirch aur masala aadi nahi daalna chahiye, kyonki jyad mirch-masale wala salad khane se hame koi fayda nahi hoga. Aaiye jante hain ki salad ko kaise banana chahiye? Jisse aapko jyada nutrients mil sake.
• Salad mein Variety laaye :- Apne salad ko sirf ek hi hari sabzi ko mila kar na banaye. Isme kabhi-kabhi Palak ke patte, Lal chaulai ya Methi ke patte aadi ko baarik kaat kar salad mein milaye. Mooli ke fresh patto ko bhi salad mein milaya ja sakta hain.
• Fresh hona chahiye salad :- Dietitian ki maane to Salad mein sabhi ingredient fresh hone chahiye. Salad ke liye hamesha fresh fruits hi lena chahiye. Baasi Sabziya ya phal aapki sehat ko nuksan pahucha sakte hain. Sabziyo ko paka kar unka salad na banaye. Hamesha in baat ka khyaal rakhe ki khane ke thodi der pahle hi salad ko kaaate aur Nimbu, Namak, Masala aadi ko salad ko khane ke waqt hi milaye.
• Salad ki decoration :- Agar salad ki sajawat acchi hogi to ise khane ke liye man lalacha jayega. Kai log ise sajane ke liye soya sauce, Sirka aur dusre oils ka bhi istemal karte hain. Iske alawa aap isme Nimbu, Honey aur Dahi bhi daal kar ise chatpata aur mazedaar bana sakte hain.
2 khas kism ke salad banane ki recipe jaroor janiye :-
Macaroni Salad :-
Ingredients :- 500 Gram Macaroni, 4-5 Lal aur peeli Shimla Mirch, Kheera, 6 chammach Olive oil, 3 Chammach Sirka, ek chammach chini ya shahad, aadha chammach sarso ka tel mein bhigoya hua lahsun, Namak aur Kaali mirch.
Banane ki recipe :- Macaroni ko ubaal le. Ab isme Shimla mirch aur kheere ko chhilke samet kaat kar daale. Lahsun ko bhi baarik kaat le. Pure ingredients ko milaye. Swadanusaar Namak aur Kali Mirch daale. Chahe toh aap ise dry Jadi-bootiyo se decorate kar sakte hain.
Chukandar ka salad :-
Ingredients :- Char Chukandar, 1/3 inch Adrak, ek chammach Chini, ek chammach khusboodar sirka, ek chamamch olive oil.
Chukandar ka salad banane ki recipe :- Chukandar ke gol size mein patle-patle slice kaat le. Adrak ko kas karde. Phir ek bowl mein Chini ko chhod kar baari saare ingredients ko mila le. Upar se ab chini ko chhidak de. Tasty Chukandar ka salad khane ke liye ready hain.
Post a Comment