Safed Baalo ko kala karne ke liye ghar par banaye natural hair Dye.
Kya aap apne safed baalo ko kala karne ke liye Dye ya Chemical wale colour ka istemal karte hain. Aapko nahi maloom hain ki yeh aapke baalo ke liye kitne nuksandeh hote hain aur saath hi aapki skin aur heath ko nuksaan pahuchaate hain. Inse aapke baalo ke girne aur pakne yaha tak ki Ganjepan hone ki problems ho sakti hain. Aaj hum aapko aisa gharelu nuskha batane ja rahe hain, Jiska istemal karke aap Ghar par hi natural baalo ko kala karne wala desi herbal dye bana sakte hain. To chaliye jante hain kaise banaye herbal natural dye.
Ingredients :-
1. Sookhi peesi Mehandi -20 Gram.
2. Coffee powder – 3 Gram
3. Kattha – 3 Gram.
4. Amla Churan :- 10 Gram.
5. Brahmi Churan :- 10 gram.
6. Nimub ka ras – 4 Chammach.
7. Dahi – 25 gram.
1 se 5 number wali sabhi cheezo ko koot pees kar mila lijiye. Jaroorat ke mutabik mila kar rakh le. Baad mein 40 gram is mixture powder mein 25 Gram Dahi aur 4 Chammach Nimbu ka ras mila kar baalo mein aadhe ghante tak lagaye. Phir baalo ko paani se dho le. Iske istemal se aapke baal kaale, ghane aur mulayam ho jate hain.
Agar choti hi umar mein aapke baal jhadne ya pakne lage hain toh apni diet par dhyaan dijiye. Khane mein jaroori Minerals aur Folic Acid ko shamil kare.
Post a Comment