Reedh ki haddi mein dard hone ki wajah aur iska ilaj.
Aaj Shaharo ki bhagam bhaag bhari tension se bhari lifestyle, Galat khan-paan, Physical activities ki kami, Sone aur Baithne ke galat tariko, Crowd bhari sadako par vehicle chalane aadi ki wajah se logo mein Reedh (Spine) se related problems tezi ke saath ho rahi hain. In problems mein Slipped Disc ki samsya sabse jyada hoti hain. Reedh ki haddi mein kharabi ki wajah se ya toh peeth ya kamar mein na sahne wala dard hota hain ya situation ke kharab hone par mareez ke pair kharab ho sakte hain.
Bimari ki kism aur wajah :-
Slipped disc ki problem se har aadmi apni puri life mein kabhi na kabhi jaroor hi saamna karta hi hain. Lekin first time slipped disc hone wale 10 logo mein se sirf 1 aadmi ko hi surgery ki jaroorat padti hain aur baaki ke 9 log bed rest aur medicine se theek ho jate hain.
Wajah :- Reedh ki haddi ki wajah se hum seedha nahi chal pate hain. Body ko jaroorat se jyada modne ya galat tarike se jhukne se bhi yeh problem paida ho sakti hain. Kabhi-kabhi apni capacity se jyada bojh uthaane se bhi slipped disc ho sakta hain. Isse hamari gardan, kamar aur kulho par bura asar padta hain. Sharir mein sunnpan ya lakwa bhi maar sakta hain. Iske alawa gym mein galat tarike se wajan uthaane se ya galat tarike se exercise karne se bhi slipped disc ki problem ho sakti hain.
Spine ki banavat :-
Reedh ki haddi aam taur par 33 haddiyo ke jodo se banti hain. Har 2 haddiya aage ki aor ek disc ke jariye aur peeche ki aor 2 jodo ke jariye judi hoti hain. Yeh disc rubber ki tarah hote hain, Jo haddiyo ko jodne ke saath-saath unhe lacheelapan bhi dete hain. Inhe disc mein paida huye defects ko slipped disc kahte hain.
Slipped disc ke lakshan :-
1. Kai baar lete-lete bhi kamar se pair tak na sahne wala dard hota hain.
2. Disc ke infected areas par Sujan hona.
3. Slipped Disc ki problem mein kamar dard hona ek aam lakshan hain. Yeh dard kamar se lekar pairo tak jata hain.
4. Dard ke saath pairo mein sunnpan mahsoos hona ya pair bhaari mahsoos hote hain.
5. Naso mein ek ajeeb tarah ka khichaav aur jhanjhanahat hona Slipped disc ka lakshan ho sakta hain. Yeh jhanjhanahat puri nas mein dard paida karta hain.
Slipped Disc ki problem se chhutkara paane ke liye 4 se 6 hafto ka waqt lagta hain. Kai baar exercise aur dawaai khane se bhi rahat mil jati hain. Agar mareez ko bahut jyada dard ho raha ho toh 2 se 3 din tak Bed rest karne ki salah di jati hain. Aisi situation tab paida hoti hain jab disc ka androoni hissa baahar ki taraf jhukne lagta hain. Slipped disc ke lakshan aur isse hone wala nuksan is baat depend karta hain ki disc ka jhukaav kitna hua hain.

Post a Comment