Weight loss karne wali 5 special Tea.
Wajan kam karne ke liye aapko Fast food jaise ki pizza, Burger, Sandwich aur Sharab aadi ko bilkul bhi nahi khana peena chahiye. Is cheezo ko control karna mushkil kaam hain aur saath hi exercise karke weight loss karna ek hard task hain.
Lekin kuhc super food aur drink aise hain, jinko lene se wazan asaani se kam kiya ja sakta hain. Vegetables, Fruits aur Beverage bhi weight lose karne mein helpful hote hain. Chai bhi ek aisi hi Beverage hain, Jiska istemal log wazan kam karne ke liye karte hain. Aisi kai tarah ki chai hoti hain jo wazan kam karne mein helpful hote hain.
Saath hi chai se body ko kai tarah ke benefits bhi hote hain. Tea body ki energy ko badhaati hain aur heart stroke ke khatre ko bhi kam karti hain. Itna hi nahi Chai peene se Cancer jaisi bimari se bhi bacha ja sakta hain. Current time mein yeh special kism ki chai wazan kam karne mein kafi popular ho rahi hain.
Aaj hum aapko wazan kam karne wale Chai ke baare mein batane ja rahe hain.
• Oolong Tea :- Oolong tea peene se fat kam hota hain. Yeh chai fat ko burn karti hain aur cholesterol ka level bhi kam karti hain. Agar aap Oolong tea ka fayda uthaana chahte hain to ise 20 se 30 minutes tak ubaale. Weight loss karne ke liye iska regularly istemal kare.
• Black Tea :- Black tea mein Nimbu mila kar peene se aap bina dieting aur paseena bahaye wazan ko kam kar sakte hain. Black tea body mein energy ke level ko bhi banaye rakhti hain aur ise peene se body ka stamin bhi badhta hain. Saath hi black tea peene se body se toxins bhi baahar nikal jate hain.
• Green tea :- Agar aap wazan kam karna chahte hain toh Subah ke waqt green tea pijiye. Green tea mein aise tatv paye jate hain jo body ka metabolism badhaa dete hain. Yeh badhaa hua metabolism aapke sharir ki charbi ko kam karta hain. Saath hi Green Tea mein Antioxidants bhi paye jate hain jo puri body ko detoxify karte hain. Detoxification hone par bhi wazan tezi ke saath kam kiya ja sakta hain.
• Rose Tea :- Chai banane ke dauran isme Gulab ki patti milakar rose tea banayi jati hain. Kabz ki problems ko door karne ke liye rose tea kafi faydemand hoti hain. Saath hi rose tea ka body se toxins ko baahar nikaal deti hain, skin ko chamakdaar banaati hain aur wazan kam karne mein madadgar hoti hain.
• Doodh wali chai :- Doodh wali chai mein kafi sugar hota hain, Lekin yeh bhookh ko kam karne mein madad karti hain. Agar ise sugar free rakha jaye aur bina cream wale doodh se banaya jaye toh yeh weight loss karne ka accha option saabit ho sakti hain. Is chai ko peene se bhookh kam lagta hain, Jisse khana khane ka mann nahi karta hain. Wazan kam karne kiye doodh wali chai ki bhi apni alag pahchan hain.

Post a Comment