Header Ads

Baalo ki problems se nijaat dilane wale gharelu nukshe.

Baalo ki problems se nijaat dilane wale gharelu nuskhe aur upay.
Aaj hum aapko baalo se judi problems ko door karne ke liye upyogi gharelu nukshe ke bare mein batane ja rahe hain. Yeh gharelu nuskhe hair problems se chhutkara paane mein madad karte hain. To chaliye jante hain in asardar nuskho ke baare mein.

1. Neem ke patto ka paste seer mein kuch der tak lagaye. Phir baalo ko dho le, isse baalo ka jhadna band ho jata hain.

2. Aadha cup Dahi mein chutaki bhar Kali Mirch aur 1 chammach Nimbu ka ras mila kar paste banaye. Ise baalo par 15 minutes ke liye lagaye aur phir baalo ko dho. Isse safed baal kaale hone lagte hain.

3. Nimbu ke ras se seer ki maalish karne se baalo ka pakna, girna door ho jata hain. Nimbu ke ras mein peesa hua sukha Amla mila kar safed baalo par lagane se baal kaale hote hain.

4. Triphal ke 2 se 6 gram churan mein 1 gram ka chautha hissa Loh bhasm mila kar subah-shaam sewan karne se baalo ka jhadna band ho jata hain.

5. 50 gram Kalonji 1 Litter paani mein ubaal le. Is ubale huye paani se baalo ko dhoye. Isse baal 1 mahine mein kafi lambe aur ghane ho jate hain.

6. Wheat Grass Juice ko baalo mein lagane se kuch hi samay mein baal kaale hone lagte hain. <

7. Ghee ko khane aur Ghee se baalo ki jado mein maalish karne se fayda hota hain.

8. Neem aur Ber ke patto ko paani ke saath pees kar baalo mein lagaye aur phir 2-3 ghante baad baalo ko paani se dhoye. Isse baalo ka jhadna kam ho jata hain aur baal lambe bhi bante hain.

9. Barre ka vah chhatta jisme se makkhiya udd chuki ho (peeli makkhiya wala chhatta) 25 gram, 10-15 gudhal ke patte, aadha litter nariyal tel mein halki halki aanch par ubaale, Jab Chhatta Kala ho jaye toh tel ko aag se utaar le aur thanda karle. Thanda hone ke baad is tel ko chhaan kar sheeshi mein bhar le. Rojana is tel ki maalish karne se naye baal ugne lagte hain aur ganjapan door hota hain.

10. Lahsun ka ras nikaal kar seer par lagaane se naye baal ugte hain.

11. 10 Gram Aam ki giri ko Amle ke ras mein pees kar baalo mein lagane se baal lambe aur ghunghurale ho jate hain.

12. Sitaphal ke beej aur Ber ke patte barabar matra mein pees kar baalo ki jado par lagaye. Aisa karne se baal lambe ho jate hain.

13. Kuch dino tak nahane se pahle seer mein pyaaz ka paste lagaye. Safed baal isse kaale hone lagte hain.

14. 250 Gram Amarbel ko 3 litter paani mein ubaale. Jab paani aadha rah jaye toh ise utaar le. Subah is paani se apne baalo ko dhoye. Issme baal lambe aur ghane bante hain.

15. Chai patti ke uble paani se baal dhone se baal girne ki samsya door hoti hain.

16. Kacche Papite ka paste 10 minutes tak seer par lagaane se baal jhadne band ho jate hain aur dandruff se bhi chhutkara milta hain.

17. Besan mein Doodh ya Dahi mila kar ghol banaye aur is ghol se baalo ko dhone se hair problems mein fayda hota hain.

18. Taroi (Turai) ke tukde ko dhoop mei sookha le. Phir ise koot kar kachumar bana le aur isme Nariyal ka tel milaye. Isme Nariyal ka tel itna jyada daale ki vah isme doob jaye. 4 din tak ise tel mein dubo kar rakhe phir ise ubaale aur chhaan kar is tel ko sheeshi mein bhar le. Is tel se maalish karne se baal kaale hone lagte hain.