Header Ads

Dengue bukhaar se bachne ke liye kya khaye?

Dengue bukhaar se bachne ke liye kya khaye?
Aaj ke time mein dengue bukhar ke maamle jyada tezi ke saath badh rahe hain. Dengue fever hone par sabse pahle aapke body mein blood plates bahut tezi ke saath decrease hone lagte hain aur aapki body kamjor hone lagti hain. Dengue ke bukhaar se bachne ke liye kya khana chahiye, iske baare mein yeh article likha gya hain.

Aaiye jante hain ki aise kaun se food ya fruits hain, jinhe kha kar aap dengue ke bukhaar se bach sakte hain? Aise kaun se food hain jo Dengue Fever mein aapko rahat pahuchate hain?

Dengue se bachne ke liye jaroor khaye yeh cheeze :-



• Kiwi fruit :- Kiwi mein sabhi fruits ke mukable jyada Vitamins aur Antioxidants hote hain. Isliye Dengue ke bukhaar mein Kiwi phal ko khane se fayda milta hain. Is pahadi phal mein Fiber, Vitamin E, C, Folic Acid aur Carotenoids paye jate hain jo blood mein girate huye plates ko badhaane mein madad karte hain. Isliye dengue ke patient ko Kiwi fruit jaroor khana chahiye.

• Palak :- Apni diet mein 1 time 1 Katori palak ka saag jaroor khaye. Kyonki Palak mein Vitamins bharpoor matraa mein paye jate hain jo khoon mein girte huye plates ko increase karne mein help karte hain.

• Haldi :- Turmeric mein Curcumin naam ka Antioxidant hota hain jo body Metabolism Rate ko increase karta hain, jisse dengue se bachne mein madad milti hain.

• Kaddu :- Kaddu mein Vitamin A aur Vitamin C bharpoor matra mein paye jate hain, Jisse ise khane se body ki immunity strong banti hain aur dengue se bachaav hota hain.

• Methi ke patte :- Methi ke patte fever ko kam karne mein help karte hain. Methi ka saag khane se neend bhi acchi aati hain. Methi ki pattiyo ko paani mein bhigo kar uska paani bhi piya ja sakta hain. Methi ke powder ko paani mein gholkar peene se bhi fayda hota hain.

• Adrak :- Dengue se bachne ke liye aap apni diet mein Ginger ka istemal jaroor kare. Adrak ka istemal aap sabzi mein daal kar bhi kar sakte hain, Ya phir Adrak ko cut kar iske chote tukde ko choos bhi sakte hain. Adrak mein Anti-Bacterial properties payi jati hain jo Dengue ke asar ko kam karti hain.

• Orange aur Amla :- Raat ko sone se pahle Mitti ke bartan ya kanch ke bartan mein sookha hua Amla paani mein bhigo de. Subah khali pet oos paani ko chhan kar piye. Isse aapki Immunity strong hogi aur aap dengue se bache rahenge. Amla aur Orange dono hi Vitamin C ke good sources mane jate hain jo body ki immunity ko boost karne ka kaam karta hain. 1 Glass Orange Juice ko daily peene se bhi dengue mein fayda hota hain.

• Coconut Water :- Apni daily routine mein kam se kam 1 Nariyal paani jaroor pijiye, kyonki isme Electrolytes hote hain jo blood plates ko badhaane mein help karte hain.

• Tulsi :- Tulsi ko kha kar bhi aap dengue se bach sakte hain. Isme Anti-Bacterial gun hota hain jo body ki immunity ko boost karta hain aur aap dengue se bache rahte hain.

• Tomato :- Tamatar mein Vitamin C aur Lycopene hota hain jo aapko Dengue ke macchar ke kaatne ke baad hone wali weakness ko mahsoos nahi hone deta hain aur aapko energy bhi deta hain.