Header Ads

Kapoor ke gharelu nukshe aur upay (Home Remedies of Camphor in Hindi/Urdu.)

Kapoor ke gharelu nukshe aur upay (Home Remedies of Camphor in Hindi/Urdu.)
Kapoor ke gharelu nukshe aur upay kya hain? Health Benefits & Home Remedies of Camphor in Hindi/Urdu. Kapoor ka istemal karne ke tarike aur tips bataye.

Kapoor ka istemal puja-paath mein hi kiya jata hain. Lekin kapoor mein kuch aise gun paye jate hain, jisse yeh aapki health ko fayda bhi pahucha sakta hain. Aap apni choti-moti problems ko Kapoor ke nuskhe ke jariye door kar sakte hain. Aaiye jante hain Kapoor ke asardar aur asaan gharelu nukshe aur upay.

Kapoor ke kargar gharelu nukshe aur upay :-



• Olive oil mein Kapoor mix karke head massage karne se stress aur headache ki problem door hoti hain.


• Muscles aur Joints pain mein Dard wali jagah par Kapoor ke tel se maalish karne se jodo ke dard se chhutkara milta hain.


• Daant dard (Toothache) wali jagah par Kapoor ka powder lagane se dard se rahat jaldi rahat milta hain.


• 1 Glass paani mein 1 chammach Ajwain daal kar ubaale. Paani jab aadha rah jaye to isme zara sa kapoor dale aur is paani ko pee jaye. Isse aapko pet dard se aaram milega.


• Sardi-jukaam ki problems se chhutkara pane ke liye Nariyal ya Til ke tel mein Kapoor mila kar chest aur seer par lagane se ya phir iska bhaap lene se sardi-jukaam se raahat milti hain.


• Khujali ya Fungal infection hone par problem wali jagah par Nariyal ke tel mein kapoor mix karke lagane se khujali se chhutkara milta hain.


• Kapoor mein Antibiotic properties payi jati hain jo chot lagne, katne ya jalne aur zakhm ho jane par fayda pahuchaati hain. Katne, jalne ya chot lagne wali jagah par Kapoor wala paani lagane se aaram milta hain.


• Regular raat ko sone se pahle Nariyal ke tel mein Kapoor mix kare. Ab is tel ko thoda sa gunguna karke head massage kare aur 1 ghante baad seer ko dho le. Aisa karne se dandruff ki problem door hogi aur baalo ka jhadna bhi band ho jayega.


• Kapoor ko pure deshi ghee mein mila kar mooh ke chhalo mein lagane se chhaalo se rahat milti hain.


• Ghar mein Kapoor jalane se iska dhooa aaspaas ke bacteria mar jate hain aur infection aur bimariyo ka khatra kam ho jata hain.


• Kapoor, Ajwain aur Peppermint ko barabar matra mein mila kar kaanch ki barni mein bhare. Ise dhoop mein rakhe. Jab yeh mixture gal kar paani ban jaye, tab tak ise dhoop mein rakh. Ab is mixture ki 4-5 boonde piye. Isse aapko dast aur ulti se aaram milega.


• Garm paani mein thoda sa Kapoor aur Namak milaye. Isme kuch der ke liye pairo ko daal kar duboye. Phir scrub karke moisturizer cream laga le. Isse phati Eidiyo ki problem door hoti hain.


• Coconut Oil mein Kapoor mix kare. Ise daily Pimples, jalne ke nishaan, Chot, zakhm aadi par lagaye, Isse kuch hi dino mein yeh nishaan mit jate hain.


• Jal jaane par kapoor ya kapoor ka tel lagaye. Isse Jalan door hogi aur infection ka khatra bhi kam hoga.