Fever se bachne mein help karte hain yeh Super food.
Jab kabhi bhi mausam mein badlaav aata hain, to iska sabse pahle effect hamari body par padta hain. Mausam ke badalne par thodi si laaparvaahi aapke liye mushkil paida kar sakti hain. Mausam ke badalne par aapko Viral Fever aur sardi-jukaam asaani se ho jata hain. Lekin kuch tarah ke khaas food ko kha kar aap Viral Fever aadi se bache rah sakte hain. Kyonki in super food ko khane se aapke body ki immunity boost ho jati hain, jisse mausam ke badalne ka asar aapki body par asaani se nahi padta hain. Aaiye jante hain Aise hi khuch special super food ke baare mein.
Wheat Grass
Wheat Grass mein Fiber aur Minerals bharpoor matraa mein paye jate hain. Wheat grass ek aise food hain jise aap ghar par bhi uga sakte hain. Yeh digestion ke liye bahut hi jyada faydemand hota hain. Yeh red blood cells, Potassium aur Electrolytes ke production mein madad karta hain. Yeh sabhi tatv aapki body ko fit rakhne mein madad karte hain. Aap wheat grass ka powder aur Wheat grass juice market se asaani se khareed sakte hain. Body ki immunity ko badhaane ke liye wheat grass juice jaroor pijiye.
Tulsi
Tulsi hamare sehat liye bahut hi faydemand hain. Yeh aapko pimples se bachaati hain, Saans ki bimariyo se door rakhti hain. Diabetes, Sardi-Jukaam, Khansi aur chronic fever jaisi problems ko door karne mein madad karti hain.
Papaya Leaf
Papita ke patta chahe kitna bhi kadwa kyon na ho, Lekin Dengue bukhaar ko door karne ka yeh traditional treatment hain. Papite ki pattiyo ka juice peene se blood plates count increase hota hain. Iska matlab yeh hain ki yeh Dengue, Malaria ke alawa Chikunguniya jaise khatranaak bimari ko door karne mein bhi madad kar sakta hain. Aap ise santre ke pulp ke saath ubaal kar ya phir Kakdi ke saath smoothie bana kar bhi pee sakte hain. Kadwaapan hatane ke liye aap ise Anjeer ke sath bhi le sakte hain.
Giloy
Giloy ke baare mein jyadatar logo ko jankaari nahi hain. Yeh bahut hi asaani se ugaya ja sakta hain. Giloy ko Ayurveda mein Amrit bhi maana gya hain. Giloy ko lena bhi asaan hain. Ise Antioxidants ka khazana bhi kaha jata hain, Isse Bukhaar, Diabetes, Gathiya, Apach, Asthma jaisi bimariyo ka treatment kiya ja sakta hain. Aap kisi bhi Ayurvedic Store se Giloy ka Power, Giloy ke Tablets ya Giloy Juice asaani se buy kar sakte hain. Aap chahe to apne garden mein bhi Giloy ka paudha laga sakte hain. Ise aap Balcony mein kisi gamle mein bhi lagaya ja sakta hain. Acche health ke liye Giloy ka sewan kisi na kisi roop mein jaroor kare.
Kishmish
Kishmish ka istemal Sweets se lekar kheer, pulaaw aadi ko tasty banane ke liye kiya jata hain. Yeh Vitamins, Electrolytes aur Minerals se bharpoor hota hain. Yeh immune system ko strong banane mein madad karta hain. Yeh Cancer, Coronary Disease, Allergy aur blood pressure ke ilaj mein kafi faydemand maana jata hain. Rojana mutthi bhar Kishmish jaroor khaye aur aap Viral infection aadi se bache rahenge. Vaise Kishmish ka paani peena bhi aapke liye faydemand rahega.
Anjeer
Anjeer bahut hi tasty fruit hain jo ki nutrients se bharpoor hota hain. Yeh Blood pressure, Diabetes aur heart problems ke treatment mein madad karta hain. Yeh aapki body weight ko bhi control mein rakhta hain. Ise aap dahi mein mila kar bhi kha sakte hain. Anjeer har tarah se aapke liye faydemand hota hain.
Aloe Vera
Aloe Vera na sirf aapki skin ke liye accha hain, balki Yeh Vitamins aur Minerals ka khazana hain. Yeh aapke digestion ko theek rakhta hain aur aapki body ko detoxify karne mein bhi madad karta hain. Aloe Vera ek natural Antibiotic, Anti-Fungal aur Antibacterial ingredient hain. Aap Aloe Vera ka juice bhi pee sakte hain.
Fever se bachne mein madad karte hain yeh super food :-

Post a Comment