Tension door karne ke useful tips.
Modern lifestyle ki wajah se aaj kal hum sabhi log tension se gheere rahte hain. Is tension ki wajah se na sirf hamari health acchi rahti hain, balki isse hame kai saari bimariyan bhi ho jati hain. Tension ke karan kai baar aap depression ke bhi shikar ho jate hain. Tension ki wajah se aapka BP bhi high ho sakta hain. Isliye Tension free life jeeni chahiye, Aaiye jante hain Tension ko kaise door bhagaye.
1. Tension door karne ke liye jaroori hain ki aap ek acchi neend le. Scientist ka yeh manna hain ki agar kisi person ki neend puri nahi hogi, to usay Chidchidapan ho jayega aur vah saara din tensed rahega. Isliye aapko ek acchi neend leni jaroori hain.
2. Tension door karne ka sabse best tarika hain, ki aam apne favorite Songs ko sune. Morning aur Evening ke time rojana apna manpasand gaana aur music sunne se aapka dimaag shant hota hain. Aap chahe to gaane ko gunguna bhi sakte hain. Music ko sunne se yakin maniye aapki tension kafi kam ho jati hain.
3. Kai countries mein huyi researches se yeh pata chala hain ki agar aap daily breakfast nahi karte hain, to isse aapke mental health par bura asar padta hain. Iske opposite jo log subah ke naashte mein nutrition se bharpoor food jaise Juice, Dry fruits, Phal aadi khate hain, Unhe Tension kafi kam hota hain. Isliye subah breakfast jaroor kare. Morning Breakfast mein Potassium, Zinc, Magnesium aur Vitamins wali cheezo ko shamil kare. Isse aapke dimaag ko healthy rakhne mein madad milti hain.
4. Apni thinking ko hamesha positive rakhe. Psychology ke according agar hum apni soch ko positive rakhte hain to hamare dimaag par bahut hi accha effect padta hain. Isse hum tension se bache rahte hain. So friends, Think Positive, Be Positive.
5. Apne aaspaas ke mahaul ko shant aur khush-haal banaye rakhne ki koshish kare. Isse aap tension free life jee sakte hain. Isse aap tension se koso door rahenge.
6. Office se aane ke baad nahaye. Nahane se aapke dinbhar ki saari thakaan door ho jati hain. Isse aap tension free ho jate hain aur aapko ek acchi neend aati hain.
7. Apni family, Friends, janne walo aur colleagues se acche relation bana kar rakhe. Isse aapke aaspaas ka mahaul happy rahega aur result ke taur par aap tension free rahenge.
8. Computer par lagatar kaam karte rahne se na sirf aapki aankhein thak jati hain, balki aapka dimaag bhi sust ho jata hain. Experts ka kahna hain ki har 2 ghante ke baad aankho aur dimaag ko rest dene ke liye 5 minutes ka break le. Is dauran apne haathon ko saaf karke 2 minute ke liye haatho se palko ko band karle. Isse aapko kafi relaxation mahsoos hogi.
9. Rojana subah-shaam Mediation karna bhi aapke liye faydemand rahega. Meditation karne se mann shant rahta hain aur tension aapse door rahta hain.
Tension door karne ke Useful Tips :-

Post a Comment