Header Ads

Gaay ka deshi Ghee khane ke fayde (Benefits of Cow Ghee in Hindi/Urdu).

Gaay ka ghee (Cow ghee) khane ke fayde aur benefits.
Gaay ka ghee khane se hame kya fayde hote hain? Gaay ka Shuddh Deshi Ghee khane ke kya fayde aur labh hain? What is the health benefits of Cow’s Ghee in Hindi/Urdu? Janna chahte hain toh jaroor padhe yeh post.

Aaj kal ke youth Ghee ka naam sunte hi apna mooh bana lete hain. Agar ghar mein Daal, Roti mein ghee laga do toh khana chhod denge. Lekin kya jante hain iska sewan karna sehat ke liye kitna faydemand hota hain. Agar Gaay ke ghee ki baat ki jaye toh kya baat hain. Purane zamane ki baat kare toh budhape tak pahle ki hi tarah majboot aur koi bhi bimari nahi hoti thi. Iski wajah yeh thi ki veh Ghee khate thay.

Ayurveda mein Gaay ke ghee ko Amrit ke samaan mana gya hain. Yeh hame kai bimariyo se bachata hain. Itna hi nahi agar aapko motape ki shikayat hain toh yeh uske liye bhi faydemand hain. Gaay ke ghee ko amrit kaha gya hain, jo jawaani ko kayam rakhte huye budhape ko door rakhta hain.

Gaay ke ghee mein aise medical gun hote hain. Isme itne gun paye jate hain jo ki aur kisi bhi cheez mein nahi hote hain. Isme Micronutrients tatv hote hain jo aapko cancer jaisi gambhir bimari se bhi bachate hain. Gaay ke ghee ka dharmik mahtav bhi hain. Gaay ke ghee ka Deepak jalana kafi shubh hota hain. Janiye Gaay ka ghee khane ke kya-kya fayde hain.

♦ Cancer se kare bachav :- Gaay ka ghee na sirf cancer ko paida hone se rokta hain aur is bimari ko wonderful tarike se phailne se rokta hain. Deshi Gaay ke Ghee mein Cancer se ladne ki great power hoti hain. Iske istemal se breast aur Aant ke khatarnaak cancer se bacha ja sakta hain.

♦ Motapa kam kare :- Gaay ke ghee mein aise gun paye jate hain. Jo aapko wazan kam karne mein madad karte hain. Isliye agar aap chahte hain ki aapka wazan kam ho toh iska sewan karna shuru kar dijiye.

♦ Hichaki ko roke :- Agar aapko hichaki aa rahi hain aur koi bhi upay karne se veh sahi nahi ho rahi ho toh iske liye Gaay ka ghee aadha chammach kha le. Isse hichaki turant rook jayegi.

♦ Aankhon ko kare tez :- Iske sewan se aankhein bhi tez banti hain. Iske liye 1 chammach Shuddh Gaay ka ghee, 1 chammach peesi shakkar, 1 chammach peesi kali mirch teeno ko mila kar subah khali pet aur raat ko sote samay chaatkar garm doodh piye.

♦ Migraine ki problem se nijat :- Agar aapko migraine ki samsya hain toh Gaay ke ghee se aap isse nijat pa sakte hain. Iske liye subah-shaam Gaay ke ghee ko naak mein dale. Isse aapko fayda hoga.

♦ Dil ke liye faydemand :- Dil ki naaliyo mein jab blockage ho jaye toh cow ghee kafi faydemend ho sakta hain. Yeh ek lubricant ki tarah kaam karta hain.

♦ Baccho ki cough ki shikayat door kare :- Aam taur par baccho mein cough ki shikayat bahut jaldi ho jati hain. Agar aapke ghar mein kisi ko cough ho gya ho, Toh iske liye Gaay ke purane deshi ghee se bacche ki chhati aur peeth ki maalish kare. Isse labh milega.

♦ Chehre par glow laaye :- Gaay ke ghee mein dher saara Anti-Oxidants paye jate hain jo free radicals se ladte hain aur chehre ki chamak ko barkarar rakhte hain. Isliye iska sewan jaroor kare.

♦ Sharirik kamjori ko door kare :- Agar aap kamjori mahsoos kar rahe hain toh iske liye ek glass doodh mein ek chammach Gaay ka ghee aur mishri daal kar pee le. Isse aapko fayda hoga.

♦ Haath pair ki jalan ko door kare :- Agar aapke haath-pairo mein jalan ho rahi hain toh iske liye Gaay ke ghee ko talvo mein maalish karne se jalan theek ho jati hain.

♦ Pitt ki samsya se dilaye nijat :- Garmiyo mein pitt badh jana ek aam samsya hain. Isko shaant karne ke liye gaay ke ghee ka sewan kare.