Header Ads

Namak (Salt) ke gharelu nuskhe aur fayde.

Namak ke gharelu nuskhe aur upay aur iske fayde.
Namak ka istemal hum khane mein swaad laane ke liye karte hain. Bina namak ka khana bilkul bhi accha nahi lagta hain. Lekin zyada salt khana bhi acchi nahi hain, Isse sehat ko nuksan hi hota hain.

Lekin aaj ki post mein hum aapko Namak ke kuch aise gharelu nuskhe aur upay ke baare mein aapko batayenge, jinhe jankar aapko accha lagega. Home Remedies of Salt in Hindi/Urdu. Aaiye jante hain Namak se jude in behtarin gharelu nuskhe aur upay ke baare mein aur isse aapko kaun kaun se fayde hote hain.

Namak ke gharelu nukshe aur unse hone wale fayde :- 

• Kabz door kare 

Ek glass Chhacch (lassi) mein chutki bhar namak mila kar peene se digestion system behtar hota hain. Is nuskhe ko ajmaane se aapko kabz ki problems se aaram milega.

• Muscles pain mein faydemand 

Gungune paani mein 4-5 chammach Namak mila le. Isme cotton ka kapda bhigokar dard wali jagah par dheere-dheere se senkaai kare. Isse muscles pain mein rahat milegi aur dard door hoga.


• Daanto ko safed banane ke liye 

Ek Chammach Namak, ek chammach soda aur ek chammach Nimbu ka ras mix kare. Isse regular daanto par halke haathon se maalish kare. Isse daant majboot, chamkdaar aur bacteria free ban jate hain.


• Digestion ke liye faydemand 

Ek glass lassi mein thoda sa namak mila kar peene se digestion behtar hota hain.


• Dandruff door kare 

Aadha katori Khatte dahi mein ek chammach namak milaye. Phir is mixture ko apne baalo mein lagaye. Kareeb 30 minutes baad apne baalon ko dho le. Isse aapko dandruss se chhutkara milta hain.


• Healthy skin ke liye 

5 Chammach Namak ko 1 chammach Olive oil ke saath mix kare aur phir ise halke haatho se skin par massage kare. 10 minutes ke baad naha le. Isse skin soft aur healthy ban jati hain.

• Soojan kam kare 

Pairo mein sujan hone par gungune paani mein namak mila kar 10 minutes ke liye pairo ko isme duboye. Phir pairo ko towel se saaf karle, Isse pairo ki soojan kam karne mein madad milegi.

• Chamakdaar naakhoono ke liye 

Namak ko baking soda aur Nimbu ke ras mein mila le. Ise dheere-dheere apne naakhoono par lagaye. Hafte mein 1 baar yeh nuskha ajmaane se aapke naakhoon soft aur glowing banenge.


• Joints pain ke liye 

Ek balti paani mein 2 ya 3 chammach namak milaye. Regular is paani se nahane par jodo ke dard se aaram milega.

• Aankhon ke dard ke liye 

Gulab jal mein chutaki bhar namak milaye. Ise 2 cotton balls mein bhigo kar 5 minutes ke liye aankhon par rakhe. Aankho ka dard aur Sujan door hogi.