Sone se pahle Mobile Use kyon nahi karna chahiye?
Kya aap bhi raat ko sone se pahle mobile ka istemal karte hain? to aapko yeh article jaroor padhna chahiye. Kyonki raat ko mobile use karne se health par bahut hi bad effect padta hain.
Aaj ke time mein Smartphone life ka important part ban chuke hain. Agar koi aadmi mobile nahi istemal karta hain to usay bekaar aur old fashion wala maana jata hain. Lekin jaroorat se jyada mobile ka istemal bhi sehat ko nuksan pahuchata hain. Kai sari studies mein paya gya ki mobile health ko nuskan pahuchate hain.
Raat ko sone se pahle mobile kyon nahi use karna chahiye?
1. Neend ki kami hona
Raat ko sone se pahle mobile ka istemal karne par body mein melatonin hormone ka level kam hone lagta hain. Jisse aapko neend der se aati hain.
2. Eyes sight par bad effect
Raat ke time sone se pahle mobile use karne par eyes ki retina par bad effect padta hain. Jisse aankhon ki roshni kam hone lagti hain.
3. Stress mein badhotri
Der raat tak mobile ke istemal se Melatonin Hormone level kam hone lagta hain, jiski wajah se aapka stress badh jata hain.
4. Brain par bura asar
Der raat tak mobile ke use se brain tumor hone ka khatra kafi jyada badh jata hain. Isse aapki brain memory kamjor ho sakti hain.
5. Thakaan hona
Raat ko jyada mobile chalaane se neend puri nahi ho pati hain aur agle din aapko thakaan mahsoos hota hain.
6. Glaucoma
Late night tak mobile use karne se brain tak signal le jani wali optic nervs par bura asar padta hain, Isse aapko Glaucoma (Kaala Motiya) ki problem ho sakti hain.
7. Focusing muscles par effect
Raat ko der tak mobile istemal karne se aankhon ki focusing muscles par bura effect padta hain. Isse kisi bhi cheez par focus karne mein kafi hi muskhil aati hain.
8. Aankhon mein redness hona
Late night tak Mobile ya Tablet use karne se Eyes mein redness ki problem paida ho sakti hain.
9. Dark circles hona
Der raat tak mobile use karne se eyes par stress padta hai. Isse aapko dark circles ki problem ho sakti hain.
Post a Comment