Header Ads

Dhaniye ka paani peene se sehat ko hone wale fayde. Benefits of Coriander Water in Hindi/Urdu.

Dhaniye ka paani peene se sehat ko hone wale fayde. Benefits of Coriander Water in Hindi/Urdu.
Sabut Dhaniye ke beej ka istemal rasoi mein masale ke taur par kiya jata hain. Isse khane ka taste aur bhi jyada badhiya ho jata hain. Lekin kya aapko maloom hain ki Dhaniya ke beej ka paani (Coriander Seeds Water) ko regularly piya jaye to health par kya good effect dekhne ko milenge? 


Dhaniye ke beejo ka paani peene se sehat ko dher saare fayde hote hain. Kyonki Dhaniye ke beejo mein Magnesium,  Vitamin C, Potassium, Calcium Jaise Minerals paye jate hain, jo body ki kai saari health problems se chhutkara dilaate hain. Aaiye jante hain ki Dhaniye ke beejo ka paani peene se sehat hone wale fayde. Health Benefits of Coriander Seeds Water in Hindi/Urdu. 


Dhaniye ka paani peene ke fayde :- 


• Liver ki bimariyon se bachaata hain


Dhaniye ke paani mein Fibers aur Essential Oils Paye jate hain jo aapko liver ki bimariya hone se bachaata hain. Isliye rojana dhaniye ka paani jaroor piye. 


• Periods ke dard se aaram dilaye 


Dhaniye ke paani mein Antispasmodic Properties hoti hain jo mahilaon ke periods ke dauran hone wale dard ko kam karne mein madadgar maani jati hain. 


• Typhoid se bachaata hain 


Dhaniye ke paani mein ek special element DUODENAL hota hain. Yeh Typhoid ke bacteria ko khatm karne mein Antibiotics se dugna asar karta hain. 



• Ulcer ki problem se nijaat dilaye 


 Dhaniya ka paani collagen tissue ke production ko increase karta hain. Jisse ulcer jaisi problems ko control karne mein madad milti hain. 


• Mooh ke badboo door kare 


Agar aap regularly Coriander Water peete hain to isse mooh mein aane wali badboo ko door kiya ja sakta hain. Yani ki Dhaniye ka paani aapki mouth ki bad smell ko khatm karta hain. 


• Skin infection se bachaata hain


Dhaniye ke pani mein Linolenic Acid paya jata hain jo skin ko infection aur Eczema se bachaata hain. 


• Khoon badhaaye 


Dhaniye ke pani mein bharpoor matraa mein Vitamin C aur Folic Acid hota hain. Isliye is pani ko niyamit roop se peene se body mein blood ki kami ko door kiya ja sakta hain. 


• Diabetes ki bimari se bachaye 


Niyamit roop se Dhaniye ka paani peene se body ka glucose level balance mein rahta hain. Jisse aapko diabetes ki bimari hone ka khatra kafi kam ho jata hain. 


• Body ki Immunity strong banaye 

Dhaniye ke paani mein Ascorbic Acid paya jata hain. Ascorbic Acid ko Antioxidant ki category mein rakha gya hain. Yeh special Anti-Oxidant body ki immunity ko boost karta hain. Jisse aapko Sardi-Jukam, Viral infection aadi hone ka khatra kafi kam ho jata hain. 


• Dil ke liye faydemand 

Dhaniye ka paani peene se sharir mein Good Cholesterol yani HDL badhta hain aur body se kharab cholesterol yani LDL kam hota hain. Isliye is paani ko niyamit roop se peene se dil ki bimariya hone ka khatra kafi kam ho jata hain.