Header Ads

Acchi neend lena chahte hain to in 5 food ko jaroor khaye.

5 Special food that help to get good sleepsKya aap bhi acchi neend lene ke liye kai tarah ke gharelu nuskhe aur upay ajmaate hain. Lekin aaj hum aapko khane wali aisi 5 special cheezo ke bare mein batayenge, jinhe kha kar aapko acchi neend lene mein kafi madad milti hain.


Acchi neend lene mein help karti hain, khane wali yeh 5 cheeze :- 



• Dahi 

Acchi neend lene mein dairy products hamesha se hi helpful mane gye hain. Aise mein agar aap dahi ko regularly khate hain to aapko acchi neend lene mein kafi jyada madad milti hain.


• Chawal 

Vaise to yeh dekha jata hain ki log chaawal khane se katraate hain, kyonki chaawal khane se wajan badhne ka khatra sabse jyada hota hain. Lekin agar aap thodi se matraa mein roj chawal khate hain to aapko acchi neend aati hain. Acchi neend lene ke liye aap jasmine chaawal ka istemal kar sakte hain. Is chawal mein Glycemic Index jyada matra mein hote hain. Aise food good quantity mein Amino Acid ko paida karte hain, jisse achhi neend lene mein madad milti hain.


• Kela 


Aapko niyamit roop se Kela jaroor khana chahiye. Kele mein Potassium aur Vitamin B6 hota hain jo andhere mein neend laane wale hormone Melatonin ka production karta hain.


• Cherry Juice pijiye 


Agar aapko acchi neend chahiye to aapko Cherry Juice peena chahiye. Cherry Juice ki help se aap sleeping pattern mein sudhaar kar sakte hain. Raat ko ek acchi neend lene ke liye aapko rojana 1 glass Cherry ka juice jaroor peena chahiye.


• Eggs khaye 


Jyadatar Dietitian ek balance diet mein eggs ko shamil karne ki advice dete hain. Lekin agar aap eggs ko apne breakfast mein shamil karte hain to aapko raat mein acchi neend aati hain. Aisa isliye hain kyonki Ande mein Amino Acid hota hain jo neurons ko activate kar deta hain, jisse Orexins paida hote hain jisse aapki rapid eye movement sleep sudharti hain, jisse aapko neend acchi aati hain.