Header Ads

Kamar ke motape (Belly Fat) ko kam karne ke liye kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye?

Kamar ke motape (Belly Fat) ko kam karne ke liye kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye? Kamar ke motape ko kam karne ke liye aapko kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye, Iske bare mein aaj hum aapko batayenge. Agar aap bhi apne badhte huye Belly Fat se preshan hain to yeh article jaroor padhe. Aaj hum kamar ki charbi ko khatm karne ke liye sahi diet aur food ke bare mein aapko batane ja rahe hain.

Kai saari khane wali cheeze aisi hain jinme dher saara fat aur calorie hoti hain, jinke bare mein aap anjaan hain aur aap inhe lagatar kha rahe hain, jiski wajah se aapke kamar ka motapa badi tezi ke saath badh raha hain. Lekin aaj hum aapko aisi cheezo ke baare mein batane ja rahe hain, jinki jagah par aap unhe kha sakte hain, jisse aapka belly fat kam karne mein bhi madad milegi.


Example ke taur par agar aap white bread khate hain to iski jagah par aap Brown ya wheat bread kha sakte hain. Dusri ko aapko oily aur spicy food khane ki bajaye simple roti-sabzi khani chahiye. Isse pet jyada der tak bhara-bhara sa mahsoos hota hain aur body mein fat bhi nahi jamta hain.


Aaiye jante hain aisi unhealthy cheezo ke bare mein jinhe aapko nahi khana chahiye aur inki jagah par aapko kya khana chahiye, iske baare mein bhi hum aapko batayenge. Unhealthy cheezo ki jagah par in sehatmand cheezo ko khaye aur apne sharir aur kamar ki charbi se chhutkara paye.


Belly fat ko kam karne ke liye kya khaye aur kya nahi khaye :-  



• Milk Shake ki banaye fresh fruits ki smoothie piye 

Milkshake mein kafi jyada calorie payi jati hain. Isliye Milkshake ki bajaye aapko bina shakkar wali Fruits ki smoothie bana kar peena chahiye.



• Safed chawal ki bajaye Brown rice khaye 


1 Cup cooked huye Brown rice mein 4 Gram Fiber hota hain. Toh dusri aor 1 Cup pakaye gye Safed chawal mein sirf 1 Gram Fiber hi paya jata hain. Isliye agar aap kamar ki charbi ko khatm karna chahte hain to white rice ki jagah par brown rice ko hi khaye.



• Fruit Juice peene ke bajaye doodh piye 

Apki body ka 99% Calcium aapki haddiyon mein paya jata hain. Isliye Fruits juice ki bajaye aapko doodh peena chahiye. Isse aapki haddiyan majboot banti hain.



• Ice Cream ki jagah par dahi khana chahiye 

Dahi khane se protein, Vitamin C, Vitamin B12 prapt hote hain.



• Cream wale soup ki jagah par Vegetable soup piye 

Agar aap soup peena pasand karte hain to aapko soup mein Cream nahi daalni chahiye. Balki simple Vegetable soup hi peena chahiye. Aap chahe to Tamatar bhi soup mein daal sakte hain.


• Juice peene ki bajaye saabut phal khane chahiye 

Juice mein Fiber kafi kam matraa mein paya jata hain aur isme Sugar kafi jyada hota hain. Toh dusri aor phalon mein fiber, nutrients aur natural sugar paya jata hain. Isliye aapko juice peene ki bajaye saabut phalon ko hi jyada khana chahiye. Aur jin phalo ke chhilko ko khaya ja sakta ho, unhe jaroor khana chahiye. Kyonki Phalo ke chhilko mein Fiber bahut hi jyada paya jata hain. Jisse aapka motapa kam karne mein madad milti hain.



• Milk chocolate ki jagah par dark chocolate khaye 

Dark Chocolate mein Milk Chocolate ki mukable kam Sugar hoti hain. Iske alawa dark chocolate ka taste mooh mein kafi der tak bana rahta hain.



• Fried Chicken ya fish ki jagah par Boil, roast ya grill chicken khaye


Fry kiye gye bhojan mein Fat aur calorie jyada hoti hain. Isliye jab bhi chicken khane ka mann kare to ubla ya roast kiya gya hua chicken hi khaye.



• Bada paav ki jagah par Idli-sambhar khana chahiye 

Bada paav mein kafi jyada tel, butter aur maida hota hain. Vahi idli mein dher saari energy aur sambhar mein daal hoti hain. Jo protein ka bahut hi badhiya source maane jate hain. Protein body fat ko kam karne mein bahut hi madadgar mana jata hain.



• Potato chips ki jagah par Popcorn khana chahiye 

Popcorn mein Potato chips ke mukable 80% Kam Fat hota hain, Iske alawa Popcorn mein Aaloo chips ke mukable dugna fiber hota hain.



• Cold Drink ki jagah par Nimbu paani pijiye 

300 ml. ki cold drink mein 10 chammach sugar hoti hain. Toh dusri aor Nimbu paani peene se wajan kam karne mein asaani hoti hain, Isse skin glow karne lagti hain aur yeh body ki immunity ko bhi majboot banata hain. Isliye cold drink peene ki bajaye Nimbu paani ko peena chahiye.



• Biscuit ki jagah par ghar ka bana parantha khaye 


Biscuit mein Maida, Cholesterol aur Sugar kafi jyada matra mein paye jate hain. Lekin ghar ka bana parantha Genhu ke aatte se bana hua hota hain, Isme Fiber aur Iron bharpoor matra mein paye jate hain.



• White Pasta ki jagah par Wheat Pasta khaye 

Wheat Pasta mein High Fiber aur Nutrients kafi jyada matra mein paye jate hain. Jabki White Pasta mein sirf maida hi hota hain.



• Fried food ki bajaye roti-sabzi khaye 

Fried food khane se pet toh bhar jata hain, Lekin fried food mein calorie aur fat jyada paye jate hain. Jabki Roti-sabzi mein dher saara poshan paya jata hain aur ise khane se bhi pet bhar jata hain.