Header Ads

Baasi Chawal khane se bhi sehat ko hote hain yeh kamaal ke fayde.

Baasi Chaawal (Rice) khane ke fayde. Benefits of Baasi (Leftover Rice) in Hindi/Urdu.Kya aap bhi ek din purana yani ki baasi chawal ko khate hain? Agar haan to aapko jankar hairaani hogi ki 1 din pahle ka baasi chawal jise baasi bhaat bhi kaha jata hain, usay khane se sehat ko dher saare fayde bhi hote hain. Jab raat bhar ke liye chaawal ko chhod diya jata hain, to chaawal mein chemical reaction ho jata hain, jiski wajah se yeh health ke liye beneficial ban jata hain.


Baasi chaawal kaise khane chahiye taki health ko fayda ho sake? 

Jab Mitti ke bartan mein Chawal ko raat bhar ke liye rakha jata hain, toh yeh next morning tak ferment hota hain. Uske baad yeh baasi chawal (baasi rice) sehat ke liye bahut hi jyada faydemand hota hain. Aaiye jante hain Baasi bhaat khane ke fayde kya-kya hain?


Baasi Chawal khane se health ko hone wale benefits :- 



1. Hafte mein 3 baar ya 3 din tak baasi chawal khane se ulcer jaisi bimari se ladne mein madad milti hain.


2. Baasi chaawal khane se aap patle bane rahte hain. Kyonki raat bhar mein yeh kafi thanda ho jata hain aur isme 60% tak calorie kam ho jati hain. 100 Gram baasi chawal mein 130 Calorie kam ho jati hain aur sirf 52 Calorie hi baaki bach jati hain. Lekin iske liye chawal ko sahi tarike se pakana bhi jaroori hain. Yeh American Chemical Society ki research mein saabit hua hain. Isliye Baasi chawal khaye aur motape se chhutkara paye.

3. Baasi bhaat khane se skin young aur glowing banti hain. Isliye hamesha jawan dikhne ke liye baasi chawal jaroor khana chahiye.


4. Kyonki Chawal ki taaseer thandi hain, isliye yeh body ke temperature ko kam karta hain aur aapko hamesha cool banaye rakhta hain. Isliye Baasi chawal ko regularly khana chahiye.

5. Baasi Chaawal mein poshak tatv aur minerals zyada matra mein paye jate hain. Isme Iron, Potassium, Calcium aadi bharpoor matraa mein hote hain. Ek research ke mutabik rojana baasi chawal khane se healthy life jeene mein help milti hain.


6. Subah ke time Basi chawal khane se pet ki khatarnaak bimariyan khatm hoti hain. Sharir ki garmi ko yeh door kar deta hain aur aapke pet ko aaram dilata hain. Isliye Baasi chawal khaye aur pet ko rakhe khoosh.