Header Ads

Nahate waqt yeh galtiyan nahi karni chahiye.

Nahate waqt yeh galtiya nahi karni chahiye. Kya aapko pata hain ki bathroom mein hum nahate samay kai saari aisi galtiya kar dete hain, jisse hamare jism par bura asar padta hain. Aaiye jante hain ki nahate samay kaun si galtiyan nahi karni chahiye, taki aapke baal aur skin kharab na ho.

Nahate samay yeh galtiya nahi karni chahiye. 



■ Towel se jyada  ragad kar pochhna 


Isse skin aur baalo ko nuksan ho sakta hain. Skin dry ho sakti hain aur baal toot sakte hain. 

■ Shower ke baad moisturizer na lagaanaa 

Shower lene ke baad skin ka moisturizer kam ho jata hain. Isliye tel ya moisturizer lagana chahiye. 

■ Bahut jyada thande ya phir garm paani se nahana 


Isse baalon aur skin ke tissues damage ho jate hain. Skin burn ho sakti hain ya skin sunn bhi ho jati hain.

■ Shampoo karne ke baad conditioner na lagaana


Yeh galti karne par aapke baal dry ho sakte hain. Baalo ki shine bhi khatm ho sakti hain aur to aur shampoo karne ke baad conditioner na lagaane ki wajah se baal aapas mein ulajh kar toot bhi sakte hain. 


Kasrat karne ke baad turant shower lena 

Kasrat karne ke baad sharir garm ho jata hain. Turant thanda shower lene se aapko sardi-jukaam ho sakta hain, iske alawa aapko stroke aur heart attack aane ke bhi chances badh jate hain. 


■ Jyada time tak shower lena 


Zyada waqt tak shower lene se skin ka moisturizer kam ho jata hain. Isse skin dry bhi ho sakti hain. Isse chehre par wrinkles jaldi padne lagte hain.


■ Body scrubber ko bathroom mein hi chhod dena 


Geele Body scrubber ko bathroom mein chhodne par isme bacteria paida hone lagte hain. Isse skin aur body mein infection hone ka khatra kafi jyada badh jata hain.

■ Tez shower mein face ko wash karna 

Tez bauchhaaro se face ki delicate skin aur eyes ko nuskan ho sakta hain. 

■ Bahut jyada scrub karna 

Jyada gora dikhne ke liye kai log skin ko jyada ragadte hain yani jyada scrub karte hain, jisse skin ki upari parat chhil sakti hain. Isse aapko infection bhi ho sakta hain.


■ Chemical wale saabun ka istemal 

Medicated ya chemical wale saabun ka istemal karne se yeh skin ko infection se bachaane wale good bacteria ko bhi khatm kar deta hain.