Header Ads

Santra ke desi nuskhe, Fayde (Benefits of Orange )

OrangeGarmiyo ke mausam mein santra (Orange) bade hi chaav ke saath khaya jata hain. Isse pyaas bhi turant boojh jati hain. Vaise to thade-bulbule soda yukt drinks kuch samay ke rahat to jaroor de sakte hain, Lekin sharir par inke Bad Effects padne ka pata baad mein lagta hain. Aise mein agar aap Garmiyon mein chilchilati dhoop se preshan hain to santre ka sewan kare. Isse aapke sharir mein paani ki kami door hogi, Aap infection se bhi bache rahenge aur jahir hain ki santra khane ka koi side-effect bhi nahi hain.  Aap ise Juice kitarah le sakte hain ya chhilka utaar ka kha sakte hain. Agar aap apne routine mein healthy fruits ka juice shamil kare to dhoop se hone wali bimariyo se aap bach sakte hain. Aaj hum santre ke guno ke baare mein charcha kar rahe hain. 



Makkhi machchharo se bachata hain 

Aadiwasi santre ke sukhe chhilko ya uske powder ko jalte huye koyale par dalkar pure ghar mein dhooan karte hain. Aisa karne se Makkhi, Machchhar aur khatmal aadi bhag jate hain. 
Santra ke jabardast energy dene wala phal hain. Santre ka vanaspatik naam Citrus reticulata hain. Santre mein Glucose aur dextol jaise tatv bharpoor hote hain, Jo sharirik shakti ke liye jaroori hain. Santre ke ras mein Vitamin C, Vitamin B complex, Vitamin Aur tarah ke minerals paye jate hain. 


Tavcha ki safaai karta hain

Raat ko sone se pahle Santre ke 2 chammach ras mein 2 chammach shahad mil kar 20 minutes tak chehre par lagaye. Baad mein saaf rui se doodh mein dubokar chehre ko saaf karna chahiye. Rojana aise karne se kuch hi dino mein fark dikhai dene lagega.


Looh se bachata hain. 

Garmiyo mein looh lagne par din mein 4 baar santre ka ras (Orange Juice) peena bahut hi faydemand hain. Ghamauriyo ke ilaj ke liye aadiwasi Santre ke chhilko ko sukhakar powder bana lete hain aur isme thoda sa tulsi ka paani aur gulabjal mila kar sharir par lagate hain. Aisa karte hi turant aaraam mil jata hain. 

Bawasir mein aaram

Bhojan karne ke baad yadi 1/2 glass Orange Juice roj piya jaye to pet ke ulcer theek ho jate hain. Chhav mein sukhaye huye santre ke chhilko ko pees le aur ghee ke saath barabar matra mein milaye. Ise 1-1 Chammach din mein 3 baar peene se bawaseer mein aaram milta hain. 



Apach door karne ke liye

Santre ke ras ko garm karke usme kala namak aur sonth powder mila le. Aadiwasiyo ke anusaar aisa karne se apachan ki samsya door ho jati hain. 



Juto se aane wali durgandh door hoti hain

Aisa har baar hota hain ki aap jab bhi santra khate hain, iske chhilko ko asaani ke saath kachra peti mein daal dete hain. Santre ke chhiko ko raat ko badboo maar rahe juto ke ander rakh de. Agli subah in chhilko ko juto mein se nikal kar phenk de. Juto se durgandh door ho jayegi. 





Pairo ki badboo se nijat

Jinke pairo ke talve se badboo aati hain, Usay door rakhne ke liye santre ke chhilke behad faydemand hain. Santre ke taze ya sukhe huye chhilko ko 2 Ltr. gungune paani mein ubalkar isme pairo ko doobo kar rakhna chahiye. Kareeb 2 se 4 minutes baad pairo ko paani se nikalkar towel se saaf kar liya jaye. Aisa hafte mein 2-3 baar karne se jald hi problem solve ho jati hain. 




Skin ko glow karne ke liye 

Koi bajaaroo cream aapko gori nahi banayegi, Lekin yeh daawaa hain ki is desi nuskhe ko ajmaakar aap apni tavcha mein nikhar jaroor pa sakti hain. Santre ke  chhilko ko sukhne ke liye rakh de. Jab yeh puri tarah se sukh jaye, to inhe pees kar powder bana le. Is powder ki 3 gram matra le aur ise 3 chammach dahi mein ghol le. Ise chehre par lagakar sukhne de. Kareeb 15 se 20 minutes ke baad jab yeh sukh jaye, to hatheli se halka-halka ragadte huye ise utaar le aur baad mein paani se chehre ko saaf kar le. Tauliye se saaf kar lene ke baad thoda moisturizing Cream laga le. Roj nahane se pahle 15 dino tak aisa kare. Is nuskhe ke apnane ke baad aapko asar jaroor dikhaai dene lagega. aur is nuskhe ko apnane se pahle apne ghar ki chemical cream ko jaroor kachre ke dabbe mein phenk de.