Header Ads

Aak, Madar ke desi nuskhe aur upay (Benefits of Calotropis Gigantea)

Aak, MadarAak ke paudhe kahi bhi ug jate hain. Yeh aapko galiyo, sadko ke kinare bhi uge huye milenge. Aak ke paudhe ko Aak, Madar, Ark aur Akauwa bhi kaha jata hain. Madar ka vanaspatik naam Calortropis Gigantea hain. Yeh paudha aushdhiya guno se bharpoor hota hain. Iske patte, Phal aur phool ko devtaon ke liye, Khaskar Bhagwan Shankar ki pooja ke liye upyog kiya jata hain. Aisa mana jata hain ki yeh paudha jahareela hota hain aur iski thodi si matra nasha paida karti hain. Lekin in sab ke bawjood iske bahut hi upyogi gun isme paye jate hain. Aaiye jante hain Aak ke paudhe ke desi nuskho ke baare mein :- 



Dama, Fefde ke upchar ke liye 

Aadiwasi herbal experts Iski jad ka churan bana kar oon mareezo ko dete hain, Jinhe Dama, Fefde ki bimari ya Kamjori ki samsya rahti hain.

Sharirik dard aur chot theek karne ke liye 

Yeh bahut kam log jante hain ki Is paudhe se nikalne wale doodh ka upyog sharirik dard ko door karne ke liye kiya jata hain. Aadiwasiyo ki mane to iska doodh kisi bhi tarah ke dard ko khatm kar deta hain. 
Paudhe ki pattiyo aur phool ko tode jane ke baad nikale doodh ko chot ya ghaav ke aaspaas lagaya jaye to wah jaldi theek ho jata hain. Halaki Aadiwasiyo ke anusar yadi doodh theek ghaav ke upar lag jaye to pidit ko chakkar aane ya tez jalan jaisi shikayat ho sakti hain, Isliye ise ghaav ki aaspaas wali tavcha par hi lagana chahiye. 

Kushth rog aur Eczema  ki bimari hone par 

Is ped ki jad aur chhal ko haathi paanv, Kustth rog aur Eczema jaise rogo ko theek karne mein upyog kiya jata hain.

Ghaav ke pak jane par Aadiwasi iski pattiyo ki satah par sarso ka tel lagakar ghaav par lagate hain. Unka manana hain ki ghaav footkar mavaad bahar nikal jata hain aur ghaav jaldi sookhne lagta hain.

Teumer aur kanta chubhne par aak se upay

Iske phool Asthma, Bukhaar, Sardi aur Teumer ke ilaj ke liye upyog mein laye jate hain, Lekin inka istemal kisi jankar ke disha-nirdesh ke baad hi kiya jana chahiye.

Pattiyo ko tode jane par nikalne wale doodh ko sharir mein chubhe kaante par lagane par kuch hi der mein kata bahar nikal jata hain. Kaanta nikalne ka prayaas kiya gya ho aur tavcha par chot aa jaye to bhi iske doodh ko lagana chahiye. Isse ghaav nahi banta hain.

Sujan ke liye 

Sharir ke kisi hisse mein sujan ho jaye to iske patte par sarso ka tel laga kar halki aanch par senk le. Is tel lagi halki aanch par senki patti ko sujan wali jagah par lagaya jaye to sujan jald hi khatm ho jati hain.

Aadiwasiyo ke anusar is paudhe ko kheti ki zameen ke aaspaas lagaya jaye to isse Bhoo-jal badhta hain aur mitti ki upjaau shakti badhti hain.