Header Ads

Mishri khane ke fayde. Benefits of Mishri in Hindi/Urdu.

Mishri khane ke fayde. Benefits of Mishri/Misri (rock sugar) in Hindi/Urdu.
Mishri khane ke fayde janna chahte hain? Misri hamare liye kaise faydemand  hoti hain? to jante hain iske baare mein. 

Mishri crystallize sugar hoti hain jo India mein jyadatar Hindu Devi-Devtaon ko prashad ke roop mein chadhai jati hain. Yeh sweet candy kai tarah ke guno se bharpoor hoti hain aur  ise kai tarah ki meethaiya banane ke liye bhi istemal kiya jata hain. Aaiye jante hain Mishri se hone wale kuch behtarin fayde (Benefits of Mishri in Hindi/Urdu.) 

► Refreshing drink :- South India mein garmiyo ke dino mein mishri daal kar refreshing drink banane ka riwaaz hain. Ek glass paani mein ek chammach mishri powder mila kar ise banaya jata hain. Yeh dimaag ko bahut hi araam aur sukoon pahuchata hain. Isse tension bhi door hota hain, Kyonki yeh glucose ke roop mein hame energy deta hain, Jisse hamari indriyon ko araam milta hain. 

Mouth Freshener :- Saunf ke saath Mishri ka istemal mouth freshener ke roop mein kiya jata hain. Is sugar candy ka meetha swaad aapko fresh feel dene ke saath hi aapke mooh ke bacteria ko banne se bhi rokta hain. Yahi wajah hain ki log khana khane ke baad saunf ke saath mishri khate hain. 


Poshan badhaaye :- Mishri ko dusri cheezo mein mila kar khane ke kai fayde hote hain. Jaise Bhindi ki jad ke saath mishri ko khane se sexual power badhti hain. Misri ko neem ke patto ke saath lene se pet dard aur diarrhea mein bhi rahat milti hain. 

Khansi mein rahat dilaye :- Mausam ke badalne par baccho ko khansi jukaam ho jana ek aam si baat hain. Halaki ki khansi se bachne ke liye cough syrup ka istemal kiya jata hain, Lekin turant aaram paane ke liye Mishri ek accha gharelu upay hain. Isme aise tatv paaye jate hain jo cough ko saaf karke gale ki kharash ko door karte hain. 

Chini ka best option :- Mishri Chini ka hi Unrefined roop hain, isliye yeh aapki rasoi mein istemal hone wali sugar se kanhi zyada paushtik hoti hain. Yehi wajah hain ki kai meethi cheezo ko banane ke liye mishri ka istemal kiya jata hain, Jaise ki chocolate ya aam ka panna banane ke liye. 

Gale ki kharash mein asardaar :- Agar aap gale ki kharash se preshan hain to mishri ka paani bana kar pee le. Yeh gharelu upchar sardi-jukaam se turant rahat deta hain. Meetha hone ki wajah se gale ki kharash se bachne ke liye aap apne baccho ko bhi mishri ka tukda choosne ke liye de sakte hain, Yeh bahut jaldi araam pahuchata hain.