Header Ads

Ande khane ke fayde (Benefits of Egg)

Boil EggsKahte hain ki garmiyo mein Anda khana sehat ke liye accha nahi hota, Kyonki yeh garmi ko aur jyada badha deta hain. Vaise, Yeh puri tarah se aap par depend karta hain ki aap usay kitni matra mein khate hain. Kisi bhi cheez ki adhikta kabhi acchi nahi hoti hain. Rojana 1-2 Ande ka sewan karna sehat ke saath-saath skin aur baalo ke liye bahut accha hain. To bhool jayiye Ande se hone wali Garmi aur Pimples ki samsya ko aur Roj khayiye Ande. Sunday ho ya Monday roj khao Anday (Ande).


Rojana Ande khane se hone wale fayde -

1. Energy deta hain 

Ande mein bahut sara Protein aur Nutrients paye jate hain. Isse body mein din bhar energy bani rahti hain. Ande mein 6.30 gram Protein hota hain. 3.6 Gram iske white wale bhaag mein aur 2.7 gram peele wale bhaag mein. Ande mein vo saare Amino Acids mauzood hote hain, Jinhe body ki jaroorat hoti hain. Yeh cells ke damaging ko rokte hain aur brain ko active rakhte hain. 


2. Iron ki samsya ko door karta hain 

Iron ki kami ka problem jyadatar logo ke saath hoti hain. Isse thakaan, Kamjori, Sirdard ki samsyaen aadi hone lagti hain. Iron Oxygen ke saath mil kar immunity system ko sahi rakhta hain. Saath hi, Metabolism level ko control karta hain. Ande ke peele bhaag mein Iron sabse jyada hota hain, Jise log Fat mankar khana pasand nahi karte hain. Ande ka har bhaag sharir ke liye bahut hi jaroori hain.

3. Nutrients ki kami ko pura karta hain 

 Ande mein wo saare Nutrients paye jate hain, Jinki hamare sharir ko jaroorat hoti hain. Ande mein Vitamin A, E aur B12 ke alawa Folate ki bhi bharpoor matra hoti hain. Isi liye Doctors bhi kahte hain ki breakfast mein Ande ko shamil karna chahiye. 

4. Motapa kam karta hain 

Jo log aisa mante hain ki Anda motape ko dawat deta hain, Unke liye yeh janana bahut hi jaroori hain ki Subah ke waqt nashte mein sirf 2 Ande khane se saare jaroori nutrients ki purti ho jati hain. Iske baad agar chahe to dophar ke khane aur dinner mein kuch halka bhi  khaya ja sakta hain. Saath hi overdieting se bacha ja sakta hain. 

5. Dimaag ko healthy rakhta hain

Ande mein paya jane wala choline Nutrient dimaag ke vikas ke liye faydemand hota hain. Isse brain active rahta hain aur yaddasht lambe samay tak acchi rahti hain. Garbhvati mahilaon ko khas taur par Ande ka sewan karna chahiye, Kyonki yeh garbh mein pal rahe bacche ke vikas mein madadgar hain.

6. Aankhon ki roshini ke liye 

Rojana Ande, Palak aur Broccoli ka sewan aankhon ki kai tarah ki bimariyo ko door karta hain. Ande mein mauzood Anti-Oxidants , Lutein aur Zeaxanthin aankhon ko healthy rakhne ke liye bahut hi jaroori hote hain. Motiyabind , Aankhon ka lal hona, Sukhapan aur paani aana aisi kuch samsyaen hain jo kisi bhi umar ke vyakti ko ho sakti hain. Inse bachne ke liye rojana Ande ka sewan karna chahiye. 


7. Healthy baalon aur Nakhoono ke liye

Ande mein mauzood Protein, Vitamin D aur Nutrients baalo ke saath hi nakhoono ko bhi majbooti pradan karta hain. Ande mein Amino Acids, Sulfur aur Zinc ki mauzoodagi body ke saath-saath skin aur baalo ko healthy rakhti hain. 

8. Haddiyo ki majbooti ke liye 

Ande mein Vitamin D bharpoor matra mein paya jata hain. Yeh Calcium ko observe karke haddiyo ko majboot banata hain. Doodh, Dahi jaise dairy products ke saath hi Ande ka sewan umar badhne ke saath hone wale Osteoporosis aur Arthritis jaisi bimariyo ko door rakhta hain. 
keywords :- Anda khane ke fayde, Benefits of Egg in Hindi, Ande ke fayde, Anda khane ke labh, Ande se kya fayde hote hain. Anda se health benefits, Anda khane ke swasth labh, अंडा खाने के फायदे, अंडे के फायदे