Header Ads

Gathiya hone ka karan, Lakshan aur ilaj

Kya hain Gathiya ? 
Arthritis 
Jab haddiyo ke jodo mein Yurik Acid jama ho jata hain to vah gathiya ka roop le leta hain. Yurik Acid kai tarah ke aahaaro ko khane se banta hain. Rogi ke ek ya kai jodo mein dard, akadan ya sujan aa jati hain. Is rog mein jodo mein gaanthe ban jati hain aur shool chubhane jaisi peeda hoti hain, Isliye is rog ko gathiya kahte hain. Yeh kai tarah ka hota hain , Jaise Acute, Osteo, rheumatoid, Gout aadi.


Gathiya ke lakshan 

Gathiya ke kisi bhi roop mein jodo mein sujan dikhayi dene lagti hain. Is sujan ke chalte jodo mein dard, Jakdan aur phulaav hone lagta hain. Rog ke badh jane par to chalne-phirane ya hilane-dulane mein bhi preshani hone lagti hain. Iska prabhav jyadatar Ghutno, Hip, Ungaliyo aur meru ki haddiyo mein hota hain, uske baad yeh kalaiyo, kohaniyo, kandho aur takhno ke jod bhi dikhayi padta hain. 


Kisko hota hain Arthritis ? 

Gathiya mahilaon se jyada purusho ko hota hain. Yeh purusho ko 75 saal ki umar ke baad hota hain. Mahilaon mein yeh Menopause ke baad hota hain. Agar aapke parents ko yeh bimari hain to aapko bhi 20% chance hoga ki yeh bimari aapko ho jaye.

Arthritis ke jokhim ka karak 

Mahilaon mein Estrogen ki kami ke karan, Sharir mein iron aur calcium ki adhikta, Poshan ki kami, motapa, jyada sharab peena, High blood pressure aur kidneys ka sahi tarike se kaam na karne ki wajah se gathiya rog hota hain. 

Kis tarah dikhta hain Gathiya :

1. Pairo ke angootho mein sujan

Pairo mein gathiya ka asar sabse pahle dekhne ko milta hain. Angoothe buri tarah se suj jate hain aur tab tak theek nahi hote jab tak unka ilaj na karwaya jaye. 

2. Ungaliyo ka bhi yahi haal 

Ungliyo ke jod mein Yurik Acid ke crystle jama ho jate hain. Isse ungliyo ke jodo mein bahut dard hota hain, Jiske liye doctor se upchar lena padta hain. 

3. Dard bhari koohaniya 

 Gathiya rog koohani aur ghutno mein ho sakta hain. Isse koohniya bahut jyada takhleefdeh ho jati hain aur sujan se bhar jati hain. 


Kaise ho aahaar 

Santulit aur supachya aahaar le. Chokar yukt aate ki roti aur chhilke wali moong ki daal khaye. Hari sabziyo mein Sahjan, Kakdi, Lauki, Taroi, Patta Gobhi, Gajar aadi ka sewan kare. Doodh aur unse bane products ka sewan kare.

Dawaaiyo se theek kare gathiya

Agar dard jyada badh gya ho to doctor ko dikha kar dawaaiya khaye. Yeh sujan aur dard ko kam karti hain aur khoon mein Yurik acid ki matra ko kam karke jodo mein ise jama hone se bachati hain.