Header Ads

Haddi majboot karne ke liye tips (Tips for Strong Bones)

Strong BonesHaddi sharir ka sabse mahatvpurn hissa hain, Yeh jitna hi jyada majboot rahegi aap utne hi jyada swasth aur fit rahenge. Par aajkal dekha gya hain ki school jane wale aur padhai karne wale bacche bilkul bhi doodh peena pasand nahi karte hain, Jis wajah se unki haddiya aage chalkar jaldi kharab ho sakti hain. Isliye parents ko chahiye ki wah apne baccho ko kisi bhi tarah se doodh jaroor pilaye. 



Iske alawa mahilaon mein bhi menopause ke baad haddiya kamjor hone lagti hain. Osteoporosis ka naam aapne suna hi hoga, agar nahi to hum aapko bata de ki Yeh ek aisi avastha hoti hain, Jisme haddiya umar badhne ke saath mulayam hokar chitkane lagti hain. Is samsya se ladne ke liye mahilaon ko niyamit vyayam karne ke alawa apne aahaar mein Mewa, Doodh, Hari sabziya aur Vitamin D shamil karna chahiye.


Apni diet mein niyamit roop se calcium shamil karne aur anya upayo se apni haddiyo ko kamjor hone se bacha sakte hain. Yaha par 10 aise tarike bataye ja rahe hain jinse aap apni haddiyo mein majbooti la sakte hain.

1. Hari pattedar sabziya :- Apne aahaar mein gahre hare rang ki pattedar sabziya jaise Broccoli, Dairy products shamil kare, kyonki Yeh Vitamin D ka accha source hain aur haddiyo ke liye kamal ka kaam karti hain.

2. Lahsun-Pyaz :- Lahsun aur pyaz Sulfur ke acche source hain to inka sewan jaroor kare.

3. Milavati Drinks :- Kya aap jante hain ki Cold drink ka sewan karne se haddiya kamjor ho jati hain aur inse calcium bhi galne lagta hain.

4. High protein Meat :- High protein maans ka sewan jyada na kare, Kyonki isse sharir ka calcium jaldi khatam hone lagta hain.

5. Kam piye Coffee aur Chaaye :- Coffee aur Tea ka sewan karne ki bajaye Doodh ke glass ka sewan kare. Isme khoob saara calcium, Vitamin D, Phosphorus aur potassium hota hain, jo ki haddiyo ke liye accha mana jata hain.

6. Rojana Kasrat kare :- Apni dincharya mein vyayam ko shamil kare. Chahe to Seedhiyo se chade-utre, Jogging, Dancing ya Weight Lifting kare, Yeh sab haddiyo ko majbooti dete hain.


7. Supplement ka sewan kare :- Yadi aapko lagta hain ki aapko bhojan ke dwara pura poshan nahi mil raha hain to aap supplement ya jadi-booti ka sewan kar sakte hain. Par inhe lene se pahle doctor se jaroor salah le.

8. Khel-kood kare :- Khelne Koodne se aap kabhi budhe nahi honge. Football, Basketball aadi khelne se haddiya majboot banti hain. Yadi aap jawan hain to abhi se khel-kood mein hissa lena shuru kar de.

9. Jadi-Bootiya khaye :- Jau Ghaas, Alfa-alfa, Dhaniya aur rose hips aadi aisi kuch jadi bootiya hain jo aapki haddi  ko majboot karne mein aapki sahayta karengi.


10. Vitamin D ka sewan :- Roj subah jaldi uthe aur suraj ki halki dhoop mein kewal 15 minutes bitaye. Isse aapke sharir mein Vitamin D ka level badhega.