Header Ads

Shakarkand , Shakarkandi khane ke fayde (Benefits of Sweet Potato)

Ho sakta hain aapke ghar mein Shakarkand ka vyanjan kam hi banta ho lekin isme maujood dher saare paushtik tatv aapke pure swasth ko nikhar sakte hain. Aaj hamare gharo mein Shakarkand ki jagah safed
Sweet potato

Aaloo ne le li hain. Agar aap iske swasth labho ke baare mein sunenge to aap chaunk jayenge. Iska niyamit sewan aapke blood sugar ko niche gira sakta hain.


Cancer, Dil ki bimari ko yeh pal bhar mein sahi kar sakta hain, Lekin bahut se logo ko iske swasth labh ke bare mein pata nahi hain. Shakarkand mein Iron, Folate, Copper, Magnesium, Vitamins aadi hote hain, Jisse Immune system majboot banta hain. Isko khane se tavcha mein chamak aati hain aur chehre par jhurriya nahi padti hain. To aayiye jante hain Shakarkand khane ke faydo ke baare mein 


Cancer se bachaye :- Shakarkand ki gahre rang ki prajati mein acchi matra mein Carotenoids jaise Beta-Carotene aur Vitamin A adhik matra mein paya jata hain. Aise foods jinme adhik Carotenoids paya jata hain, vah fefde aur mooh ke cancer se bachate hain. 


Blood sugar level ko control kare :- Agar aapka blood sugar level kuch bhi khane se turant badh jata hain to , Shakarkand khana accha hota hain. Ise khane se blood sugar level hamesha control mein rahta hain aur insulin ko badhne nahi deta hain. 


Tavcha ki dekhbhaal aur Anti-Aging tatv se bhara :- Shakarkand ke sewan se aankho ki roshini badhti hain aur Immune system majboot hota hain. Iske saath hi isme Beta-Carotene hota hain jo sharir mein Free Radicals se ladta hain aur jald budhapa nahi aane deta hain. Isme Vitamin C paya jata hain jo tavcha mein Collagen ka nirman karke tavcha ko jawan banaye rakhta hain. 


Dil ki bimari se bachaye ;- Shakarkand mein Vitamin B6 hota hain jo sharir mein chemical homocysteine banane se rokta hain aur heart attack se bachata hain. Isme maujood potassium blood pressure aur din bhar ke kaam ko maintain karta hain. 


Tanav se rahat dilaye :- Isme High Potassium paya jata hain jisse Tanav mein aane ke baad sharir pryog kar leta hain, Isliye shakarkand jaroor khana chahiye. Saath hi yeh maanspeshiyo ki ainthan ko kam karta hain  jo potassium ki kami ke karan hota hain.