Header Ads

Kinnoo khane ke fayde (Benefits of Kinnow)

KinnowKafi hud tak Santre ke jaise dikhne wala Kinnoo ka swaad Santre (Orange) ke jaisa hi hota hain. Yeh sardiyon mein asaani se mil jata hain. Isme Minerals, Iron, Lime, Phosphorus, Vitamin C aur Vitamin B complex bharpoor matra mein paye jate hain. Yeh healthy hone ke saath hi aur bhi kai tariko se faydemand hota hain.


Aaiye jante hain Kinnoo (Kinnow) khane ke fayde ke baare mein :- 


1. Pathari se nijat dilata hain :- Kidney mein stone hone par rojana ek Kinnu khana faydemand hota hain. Ise khane se pathari ki sambhavna kafi hud tak kam ho jati hain. Khane mein jaroorat se jyada minerals aur Chemicals se Kidney mein stone ki problem ho jati hain. Lekin Kinnoo mein mauzood citrate urine acidity ko rokta hain, Jo kidney stone hone ki  ahem wajah mani jati hain. Isliye Kidney stone ki samsya se joojh rahe rogiyo ko Kinnu khane ki salah di jati hain. 


2. Khoon ki kami ko door karta hain :- Iron ki kam matra se mahilaon mein Hemoglobin ki kami hona bahut aam baat hain. Kinnow mein Vitamin C ki bharpoor matra mauzood hoti hain, Jo iron ki kami ko door karta hain. Sharir mein khoon ki kami se kai tarah ki bimariya shuru ho jati hain, Inse bachne ke liye Kinnoo khana shuru kar dijiye. 


3. Energy Deta hain :- Rojana Kinnoo ke sewan se sharir ko kafi energy milti hain. Thakaavat mahsoos nahi hoti, Kyonki isme bharpoor matra mein Carbohydrate paya jata hain. Iske alawa isme mauzood Glucose, Fructose aur Sucrose ki matra bhi energy ko badhane mein madadgar hoti hain. 


4. Blood pressure control karta hain :- Kinnoo High aur Low, dono tarah ke blood pressure wale rogiyo ke liye faydemand hota hain, Kyonki isme mauzood Magnesium blood pressure ko control karta hain. Kinnoo ke phal ko kha kar ya iska juice pee kar ise kafi had tak control kiya ja sakta hain. 


5. Pachan sahi rakhta hain ;- Isme mauzood fibers digestion ko sahi rakhta hain. Saath hi, yeh blood sugar level ko control karta hain. Isliye diabetes ke rogiyo ke liye Kinnow bahut hi faydemand mana gya hain. Kai tarah ke chemicals jo cancer hone ka karan hote hain, unse bhi yeh bachata hain. Fiber ki jyada matra Kabz, Diarrhea aur pet se judi bimariyo ko door rakhta hain. 


6. Dil ki bimari :- Kinnoo mein paye jane wala vitamin C, Fiber, Potassium aur Colline dil ko healthy rakhta hain. Potassium Electrolyte Minerals ke saath sharir ko urja deta hain, Jo heart beat ko sahi chalane ke liye jaroori hota hain. Potassium ki matra blood pressure ko control karti hain aur Fructose aur dextrose jaise minerals Energy dene ke saath hi dil aur dimaag dono ko fresh rakhte hain. 


7. Aankhon ke liye faydemand :- Vitamin A ke khazane Kinnoo mein paye jate hain. Vitamin A aankhon ki roshini badhane mein madadgar hota hain. Iske sewan se motiyabind jaisi samsya koso door rahti hain. 


8. Cancer se kare bachav :- Kinnoo mein Anti-Oxidants ke saath Limonene bhi hota hain, jo cells ki raksha karta aur aisi koshikaon ko banne se rokta hain jo Cancer ka karan hoti hain. Iske rojana sewan se Pet, Mooh, Fefde, Skin se related cancer se bacha ja sakta hain. Saath hi yeh Leukemia jaisi khatarnaak bimari se bhi bacha ja sakta hain. 


9. Motapa door karta hain :- Bahut saare nutrients aur Calorie ki kam matra motapa ko kam karne mein madadgar hoti hain. Saath hi, Isse body ke liye jaroori Thiamin , Niacin, Vitamin B6, Magnesium aur Copper ki bhi supply hoti hain. Yeh sharir ko jaroori nutrients ki purti karke usay chust-durust banaye rakhta hain. 


10. Tavcha Nikharta hain :- Vitamin C Anti-Aging ki tarah kaam karta hain. Yeh Kinnoo mein bharpoor matra mein paya jata hain. Isse chehre par padne wale jhurriyo aur asamay budhape ko kafi had tak roka ja sakta hain.        

Keywords for google search :- Kinnoo (Kinnu) khane ke fayde in hindi, Benefits of Kinnow Fruit in Hindi, Kino ke fayde, Kinnoo ke labh, Kinnoo kaise faydemand hain. किन्नू के फायदे और लाभ.