Header Ads

Cycling ke fayde (Benefits of Cycling)

Photo:- CyclingCycling (Cycle Chalane) ke fayde bahut hain, kya aapko pata hain ki cycling se health ko kya-kya benefits milta hain. Bachpan mein aap sabhi ne cycling jaroor ki hogi, ab modern busy life mein itna waqt nahi mil pata ki aap cycling kare. Lekin kya aapko pata hain ki Cycling aapke kai problems se mukti dil sakti hain. Aaiye jante hain Cycling ke faydo ke baare mein :-


Chehre par naa dikhe umar ka asar

Stanford University ke scientist ke anusaar niyamit cycling se skin ultra-violet rays ke side-effects se bachti hain jisse badhit umar chehre par dikhaai nahi deti. Britain ke Harley Street ki Dermatologist Dr. Christopher Rowland Payne ka kahna hain ki cycling jaisi kasrat se blood flow tez hota hain aur tavcha aur cells ko jyada matra mein oxygen aur poshak tatv milte hain.


Aanto ke cancer se bachaav

Bristol University ke experts ke anusaar jo log cycling karte hain unki badi Aant mein bhojan ki activity tez hokar asaani se hajam ho jata hain. Vahi Harley Street ke Gastroenterologist Dr. Ana Raymudo  ka kahna hain ki Cycling Aanto ke cancer ke khatre ko kam kar deti hain. Isse heart rate badhta hain aur saanse tez chalti hain jisse aanto ko labh hota hain.

Infection nahi satata 

Cycling Immune cells ko active karti hain aur Infection se ladne ki capacity ko badhati hain. Indore cycling ki bajaye khule maidan, sadako aadi par cycle chalana jyada faydemand hota hain. Isse aapko natural aur fresh environment mein rahte huye bina boriyat ke workout karne ka mauka milta hain.

Neend na aane ki samysa mein 

Stanford University school of Medicine ke researchers kahte hain jo log physically work ki kami ke karan aneendra ke rogi hain, Vey rojana 20 se 30 minutes tak cycle chalaye. Isse unhe skoon bhari neend aayegi. Cycle jaisi exercise se hamare sharir ka chakra santulit hota hain. Isse stress hormone be-asardar ho jata hain aur gahri neend aati hain. Umardaraj log, ghutane se sambandhit preshani aur jod sambandhi surgery karane wale logo ko doctor ki salah ke baad hi cycling karni chahiye, warna takhleef badhne ka khatra ho sakta hain. Hafte mein 5 din cycling aapko fit bana sakti hain.


Maa aur shishu rahenge healthy

Michigan University ke researchers ke anusaar Pregnancy periods mein niyamit roop se cycling karne se delivery ke dauran dard kam hota hain. Lekin shuruvaati aur aakhiri mahine mein Cycling nahi karna chahiye. Garbhvati mahilaon ko indoor cycling karna jyada labhkari hota hain kyonki vah jaroorat ke anusaar cycle par control banaye rakhengi. Bahri Temperature ka bhi unpar koi asar nahi padega.

Dil ke rogo se bache rahenge

Ek research ke anusaar yeh result paya gya hain ki niyamit cycling dil ki bimari hone ka khatra 50% tak kam kar deta hain. British Heart Foundation ka kahna hain ki agar log niyamit roop se normal exercise kare to har saal 10 thousand se jyada heart attack se hone wali death ko kam kiya ja sakta hain.


Fefdo ki kshamta badhegi

Hum T.V. dekhte samay jitni Oxygen lete hain, Usse 10X jyada Oxygen Cycling karne se milti hain. Cycling na sirf Cardiovascular system ko majboot banati hain balki Fefdo ki power ko bhi badhati hain. Tez cycling karne se rakt sanchaar (Blood Flow) bhi tez hota hain jisse sharir ko acchi khasi energy milti hain.

Cancer se bachav 

Jin kasrato se cancer ka khatra kam hota hain, Unme se Cycling sabse best hain. Kai researchers ka kahna hain ki 30 minutes roj cycle chalane se Cancer hone ka khatra kam ho jata hain. Yadi mahilaye niyamit roop se cycle chalaye to Breast Cancer ka khatra kam hoga.

Baccho ki exercise 

Cycling baccho ke liye best exercise hain. Kyonki badhte baccho ke liye jaroori hain ki vah niyamit roop se exercise kare, Aise mein Cycling unhe full body workout karwati hain. Isse unki consternation mein badhotari hoti hain aur veh class mein accha perform karte hain.