Header Ads

Migraine ke ilaj ke kuch tips

Photo of MigraineMigraine ke ilaj ke liye kuch tips aur tarike jo aapko pata hone chahiye. Migraine Neurological yani brain se juda ek disorder hain. Isme seer ek hisse mein tez dard hota hain. Yeh dard kuch ghanto se lekar kai dino tak ho sakta hain. Itna hi nahi isse peedit vyakti Light, Sound, Smell aur Environments ke prati kafi sensitive ho jata hain. Asal mein Migraine dimaag ki kuch dhamniyo ki sujan aur kuch chemicals ke bahaav ki wajah se hota hain. In Chemicals ka bahaav allergy, tension, Masik dharm ya lambe samay tak bhookhe rahne se ho sakta hain. Iske alawa khan-pan ki badalti aadte bhi is bimari ki wajah ban sakti hain. Kai baar Heredity (Anuvansikta) aur High-blood pressure ke karan bhi vyakti Migraine ka shikar ho jata hain. Migraine ka dard kabhi bhi aur kanhi bhi uth sakta hain, Isliye ise door karne ke liye iske upay ke baare mein janna bahut jaroori hain.


Khan-pan aur dincharya mein chhupa hain Migraine ka ilaj 

Food 

Vitamin B2 :- Kam se kam 400 mg   Vitamin B2 Migraine ke lakshano ko kam karne mein madad karta hain. Vitamin B2 hame Dairy products, Phallian, Hari pattedar sabziya, Chicken, Fish aur Eggs mein milta hain. 

Niacin :- Hari pattedar sabziya, Surajmukhi ke beej, Khameer aur Macchali mein mauzood Vitamin B3 ya Niacin se bhi rahat milti hain. 

Physical activities 

Yoga iska optional treatment hain. Saanso se jude alag-alag tarah ke yog aur exercise ko daily routine ka hissa banane se Migraine ke dard ko kafi kam kiya ja sakta hain. Lekin yeh dhyaan rakhe ki kisi bhi exercise ko shuru karne se pahle warm-up hona bahut hi jaroori hain. Iske baad hi heavy workout ke baare mein soche. Body ko hamesha hydrate rakhne ki koshish kare. Iske liye jyada paani piye. Motapa na badhne de. Motapa bhi Migraine ka ek bada karan hain. Naso mein aa rahi sujan ki ek wajah yeh bhi ho sakta hain.

Therapy

Malish :- Is situation mein Seer ki malish aur dhyaan jaisi relaxation therapy faydemand rahti hain.

Sikaai ;- Sujan kam karne ka behtar tarika hain barf se sikaai. Kanpati aur gardan par cold therapy rahat deti hain. 

Yeh baatein rakhe dhyaan :- 

Kya kare :- 

1. Santulit aahaar (Balanced Diet) le. Jyada samay tak bhookhe na rahe. 

2. Acchi neend le. 

3. Music ya anya tariko se tension free hone ki koshish kare. 

4. Roj kam se kam 30 minutes tak exercise kare.

5. Acupuncture, Massage jaisi therapy se body ko beech-beech mein relax karte rahe. 

Kya naa kare :- 

1. Doctor ki salah ke bina koi bhi dawa (Medicine) na le.

2. Tej dhoop mein baahar na jaye. Tej roshini ki taraf na dekhe. 

3. Tej gandh (Smell) wali jagah par na thahre.

4. Junk Food, Sharab (Alcohol) aur Tobacco products ka istemal na kare.