Header Ads

Dalchini aur Shahad ko ek saath mila kar lene ke fayde (Benefits of Honey with Cinnamon)

Honey With CinnamonDalchini aur Shahad ko ek saath mila kar lene se kya fayde hote hain? Aapne ghar ke masalo ki rani Dalchini ka kai baar upyog kiya hoga. Lekin kya aap yeh jante hain ki yeh har bimari ka ilaj karne mein capable hain. Aur phir Dalchini aur Shahad ek dusre ke saath mil jaye to phir kya kahne. Agar aap in dono ke mix hone par iss se hone wale faydo ke baare mein nahi jante hain to jaroor is post ko padhe.

Dalchini ko Shahad ke saath mila kar lene se hone wale fayde :- 

1. Dil ki bimari :- Heart ko healthy banane ke liye aur dil ki bimariyo par control rakhne ke liye Dalchini madadgar hoti hain, kyonki yeh dil ki dhamniyo mein Cholesterol ko jamne se rokti hain. Har roj Dalchini aur Shahad ko garam paani ke saath mila kar piye. Aap Dalchini aur Shahad ke mixture ko Roti ke saath bhi kha sakte hain. Iske alawa Dalchini ko chaaye mein bhi dalkar le sakte hain. Iske prayog se heart attack aane khatra kafi kam ho jata hain.  

2. Jodo ke dard mein :- Jodo mein dard (Joints Pain) hone par Dalchini ka prayog aapko rahat  dega. Iske liye rojana Dalchini ko garm paani mein mila kar peena chahiye, Iske alawa is garam paani ki dard wali jagah par malish karne se bhi jodo ke dard mein aaram milta hain. 

Iske paani ko peene se ek hafte ke bheetar dard se nijat mil jati hain aur ek mahine tak iske sewan se chalne-firne mein disable log bhi chalne-firane lagte hain. Arthritis ke dard mein bhi Dalchini kafi faydemand sabit hoti hain. 

3. Pet ke rog :- Apach, Gas, Pet Dard aur Acidity jaisi samsyaon mein bhi Dalchini ka powder lene se aaram milta hain. Isse ulti-dast ki samsya mein bhi labh hota hain, Aur bhojan ka pachan behtar hota hain. Shahad aur Dalchini ke powder ka mishran lene se Pet ka ulcer jad se theek ho jata hain.


4. Kaan ki samsya mein :- Dalchini aur Shahad ke mishran ka sewan kaan ke rog bhi door karta hain aur bahrepan ki samsya ko bhi khatm karta hain. Dalchini ke tel ki kuch boonde kaan mein dalne se fayda milta hain. Asthma aur Lakwa hone par bhi yeh behad faydemand hota hain. 


5. Healthy Skin aur baalo ke liye :- Tavcha aur baalo ko khubsoorat banane mein Dalchini peeche nahi hain. Yeh tavcha ko nikhaarne ke saath hi jhurriyo ko kam karti hain. Dalchini powder mein Nimbu ka ras mila kar lagane se muhase aur black-heads door hote hain. Ek Nimbu ke ras mein 2 bade chammach Jaitun ka tel, 1 Cup Chini, aadha cup Doodh, 2 chammach Dalchini powder mila kar 5 minutes tak sharir par lagaye. Iske baad naha le, tavcha khil uthegi.

Shahad aur Dalchini ke paste ko raat ko sone se pahle chehre par lagaye aur subah garam paani se dho le. Isse chehra chamakne lagega. Ganjepan ya baalo ke girne ki samsya mein Garam Jaitoon ke tel mein 1 Chammach Shahad aur 1 Chammach Dalchini ka powder mila kar paste banaye aur ise seer aur baalo par lagaye aur 15 minutes ke baad ise dho le. 


6. Dalchini ke tel ka prayog dard, ghaav aur sujan ko khatm karne ke liye kiya jata hain. Yeh tavcha ki khujali ko bhi khatm karne ke saath, daanto ke dard mein bhi rahat deti hain. Mooh se badboo aane ki samsya mein Dalchini ko mooh mein rakhkar choosna bahut hi faydemand hota hain. 


7. Motapa :- Motape ke liye Dalchini ka sewan ek Ramban upay hain. Yeh sharir mein cholesterol ko kam karti hain, Jisse motapa nahi badhta hain. Iske liye Dalchini ki chaaye bahut faydemand hain. 

Ek Chammach Dalchini powder ko 1 glass paani mein ubaal kar aanch se utaar le. Iske baad usme 2 bade chammach Shahad mila kar subah nashta karne se aadha ghante pahle piye. Raat ko sone se pahle bhi iska sewan karna dugna fayda karta hain aur extra Fat dheere-dheere burn ho jata hain. 

8. Seerdard :- Thandi hawa lagne ya sardi ke karan hone wale seerdard mein dalchini ka lep karna faydemand hota hain. Garmi ke karan hone wale seerdard mein Dalchini aur Tejpatte ko Mishri ke saath chawal ke paani mein peeskar soonghne se seerdard door ho jata hain. Iske alawa Dalchini ke tel  ki kuch boonde Til ke tel mein mila kar seer par malish karne se bhi seer dard door ho jata hain. 

Dalchini ko paani mein ragadkar kanpati par garm lep karne se bhi aaram milta hain. Niyamit roop se Dalchini aur Shahad ka sewan karne se tanaav (Tension) se rahat milti hain, saath hi yaddasht bhi badhti hain. 

9. Cancer :- Dalchini ke sewan karne se cancer jaise rog par control kiya ja sakta hain. Scientists ne pet ke cancer aur haddi ke badh jane ki situation mein Dalchini aur Shahad ko faydemand bataya hain. Ek mahine tak garam paani mein Dalchini aur Shahad mila kar peene se fayda hota hain. Yeh body ki immunity power ko badha deta hain, Jisse sharir bimariyo se ladne mein jyada takatwar ban jata hain. 

10. Sardi-Khansi ;- Sardi, Khansi aur gale ki takhleef mein Dalchini behad asardaar dawa ke roop mein kaam karti hain. Ise pees kar ek chammach Shahad ke saath ek chutki matra mein khane se jukaam mein aaram milta hain. Aap garm ya gungune paani mein Dalchini powder aur Shahad ko mila kar pee sakte hain. Dalchini ke powder ko peesi hui kali mirch ke saath lene se bhi rahat milti hain. Isse purane cough mein bhi rahat milti hain.