Header Ads

Peshab mein jalan ko door karne ke gharelu nuskhe (Home remedies for Urine burn)

Peshab ki jalan ko door karne ka tarika aur tips Peshab mein jalan hona ek aam samsya hain, Lekin bahu se log ise nazarandaaz kar dete hain. Kabhi-kabhi yeh kuch samay ke liye hoti hain aur kabhi-kabhi yeh mahino tak chalti hain.Yeh bimari mahilaon aur purusho dono ko hi hoti hain. Is samsya ke kai karan ho sakte hain jaise Mutra marg mein infection, Kidney mein stone ya Dehydration aadi. Aaiye jante hain ki peshab mein jalan ko kis tarah gharelu nuskhe se theek kiya ja sakta hain. Peshab ki jalan ko door karne ka tarika aur tips kya hain.

Peshab mein jalan hone ke kai wajah ho sakte hain, Jo ki bahut se logo ko pata hi nahi hota hain aur veh uske liye kuch nahi karte hain. To aaiye jante hain ki peshab mein jalan hone ke karan kya hain.

Mutr Marg mein infection, Dehydration, Kidney mein stone, Liver ki problem, Ulcer, Pregnancy ke samay naso ya reedh ki haddi ka damage hona, Shukraanoo ya virya kosh mein infection, Prostate ka badhna, Diabetes, Kuposhan, Mutr marg tang hona.

Peshab ki jalan ko door , kam karne ke gharelu nuskhe aur ilaj :-

1. Nariyal ka paani Dehydration aur Peshab ki jalan ko theek karta hain. Aap chahe to Nariyal paani mein Gud aur Dhaniya powder mila kar pee sakte hain.

2. Jannang (Guptang) ki safaai banaye rakhe. Kai baar Yoni (Vagina) aur Ling (Penis) mein infection hone ki wajah se bhi mutr marg prabhavit hota hain. Agar aapko yeh samsya ho chuki hain to ab se kuch saavdhaniya barte jaise, Din mein 2-3 baar jannang ko dhoye.

3. Amla ka ras (Juice) bhi Peshab ki jalan ko theek karne mein sahayak hain.

4. Sabse pahle to khoob saara paani piye nahi to sharir mein paani ki kami ho jayegi aur Peshab peele rang ka dikhayi dene lagega. Din mein kuch ghanto ke bheetar 2-3 glass paani piye. Agar peshab karne ke baad adhik waqt tak jalan ho to Mutr path infection hain.

5. Yadi aapko Kidney stone hain to Peshab mein jalan hogi. Iske liye aapko Beer peeni chahiye Jisse Kidney stone gal sake. Lekin Subah Beer peene se Dehydration ho sakta hain, Isliye Nariyal paani ke saath ise mila kar piye.

6. Sex karte waqt protection barte kyonki vagina mein sukhapan aa jane ki wajah se peshab mein jalan hone lagti hain. Yadi aap Lubricant ka istemal kar rahe hain to water base wale lubricant ka istemal kare, na ki chemical wale lubricant.

7. Khatte phal yani ki Citric Fruits khayiye, Kyonki isme Citric Acid hota hain, Jo mutr mein infection paida karne wale bacteria ko maarta hain.

8. Ek Glass paani mein 1 Chammach Dhaniya powder mila kar raatbhar ke liye bhigo de. Subah usay chhan le aur phir usme chini ya phir Gud mila kar pee le.