Header Ads

Ghar mein cough syrup kaise banaye.

ghar par cough syrup banane ka tarika
Cough syrup vaise toh bahut hi asardar hote hain, Magar inme kuch side-effects bhi paye jate hain jaise chakkar aana, neend aur alasya aana. Iska niyamit sewan aapko iska addict bana sakta hain, tabhi to govt. ne kai saare nuksaandayak cough syrups par ban laga diya hain. Par kya aapko pata hain ki ghar mein bhi herbal cough syrup banaya ja sakta hain. Yeh gharelu cough syrup na sirf asardaar hota hain, balki isse aapko koi side-effects bhi nahi hote hain.  

Aaiye jante hain gharelu cough syrup (Herbal Cough Syrup) banane ke tarike ke baare mein. 

Aise banayiye natural cough syrup :- 

► Thode se pyaaz ko ghees lijiye aur ras nikaal lijiye. Isme 2 chammach Nimbu ka ras milayiye aur ubaaliye. Uske baad aanch se utaariye aur usme swaad ke liye Shahad milayiye. Ise raat bhar ke liye rakh dijiye aur dusre din se iska istemal karna shuru kar dijiye.

Dusra Cough syrup banane ke liye 4 Cup paani ko 1 cup taza kati hui Adrak ke saath ubale. Tab tak ubaale jab tak Adrak mulayam na ho jaye. Ise aanch se utaare aur thanda kare. Dusre din is mixture mein Apple Cider Vinegar mila kar dubara ubaale aur acchi matra mein Chini (Sugar) milaye. Is syrup ko rojana din mein 2 baar pijiye.

Cup syrup banane ke liye 1 cup paani ubaliye, usme 5 Tulsi ki pattiya daliye, Chota tukda Adrak aur aadha chammach Kali mirch koot kar daliye. Paani ko 5 minutes tak ubalne dijiye. Phir chhan lijiye aur din mein 2 baar is cough syrup ko pijiye.

Kuch Cherry ko 2 cup paani aur kai Nimbu ki slices ke saath ubaale. Isko tab tak ubaale jab tak cherry mulayam na ho jaye. Isme thoda Lahsun bhi koot kar mila le. Ise chhaniye aur 2 chammach roj pijiye.