Header Ads

Shimla Mirch hain guno se bharpoor.

Shimla MirchHar hindustani rasoi mein dekhi jati hain Shimla mirch aur bade hi chaav se sabzi ke taur par khaya jata hain. Shimla mirch ko na sirf anya sabziyo mein milakar naa sirf sabziyo ki rangat ko behtar kiya jata hain. Balki ise milane se sabziyo ka jayka bhi jabardast ho jata hain. Maze ki baat hain ki aadiwasi ilako mein bhi ise herbal aushidhi ke roop mein istemal kiya jata hain. Aaiye dekhte hain Shimla Mirch ke fayde aur nuskhe. 



1. Wajan Kam hota hain :- Shimla mirch wajan kam karne ke liye ek behtra upay hain. Fat aur Carbohydrate ki kam matra ke paye jane ke karan yeh sharir ke liye uttam hoti hain. 

2. High Blood pressure ko kam karta hain :- Herbal experts Shimla Mirch ko High Blood pressure ko kam karne ke liye mahatvapurn mante hain. Inke anusaar sabzi ke roop mein shimla mirch ka jyada se jyada sewan fayda pahuchata hain.

3. Kamar dard kam hota hain :- Mana jata hain ki jo log aksar shimla mirch ka sewan karte hain , Unhe Kamar Dard, Sciatica aur jod dard jaisi problems kam hoti hain. Shimla mirch mein paye jana vala parmukhya Rasayan capsaicin dard nivarak mana jata hain.


4. Energy milti hain : - Kai pohsak tatv, Vitamin C, Fiber aur Anti-oxidants bharpoor matra mein hone ki wajah se iski adh kachchi sabzi ko behad kargar tonic mana jata hain. Iske alawa shimla mirch ke beejo ko nikalkar soup taiyaar kare, yeh sharir ko tazagi aur urja ka sanchaar karta hain.


5. Arthritis mein fayda :- Modern research ke anusaar Shimla mirch mein Bete Carotene, luetin, zeaxanthin aur vitamin jaise important rasayan paye jate hain. Shimla Mirch ke lagatar sewan se sharir Beta carotene ko Retinol mein  Convert kar deta hain. Retinol asal mein vitamin A ka hi ek roop hain. In sabhi rasayano ke dwara heart ki problems,osteoarthritis, Bronchitis aur asthma jaisi samsyaon mein jabardast fayda hota hain. 


6. Tanav door hota hain :- Shimla mirch mein ek pramukhya rasayan lycopene paya jata hain. Mana jata hain ki yeh Tension aur depression jaisi problems ko door karne mein madadgar hota hain.

7. Sharirik shakti badhata hain :- Herbal experts ki mane to Shimla mirch sharirik shakti ko majboot banane ke liye ek madadgar upay hain. Shimala mirch mein Bharpoor matra mein Vitamins, Khas taur par Vitamin A, B aur C hote hain. Isme paye jane wale rasayan sharirik majbooti pradaan karte hain.



8. Cholesterol control hota hain :- Shimla Mirch ko cholesterol ka control karne ke liye herbal expert ati uttam mante hain. Modern research se yeh pata chala hain ki Shimla Mirch Body ki metabolism process ko control karke triglycerides ko kam karti hain.