Header Ads

Periods ke tez dard ko kam karne ke gharelu nuskhe aur upay.

Periods ke pain (Dard) ko door karne wale nuskhe.Ladies mein Periods har mahine mein hone wala ek natural process hain jo ki 4-5 din tak rahta hain. Is dauran mood swing hone ke saath hi pet mein jyada dard hone ki problem jyadatar mahilaon ke saath hoti  hain. Kai baar yeh dard itna badh jata hain ki dawa khane aur hospital tak jane ki naubat aa jati hain. Aakhir is dard ke peeche kya wajah hain aur ise kaise door kiya ja sakta hain. Iske baare mein aaj hum janenge.

Periods mein dard hone ki wajah :- Periods ke dauraan pet aur kamar mein dard hona bahut hi aam baat hain. Is dard ki wajah prostaglandins hain. Jo Ultras (Grabhashay, Womb) ke paas nikalne wala ek hormone hota hain. Yeh hormone delivery ke dauraan bhi active rahta hain. Isse womb ki lining bahar nikalti hain. Saath hi garbhashay mein iss dauraan khoon ki kami hoti hain, Jiski wajah se muscles mein problem hoti hain. Saath hi Smoking, Alcohol aur Drugs lene se yeh samsya aur badh jati hain.

Aaiye jante hain Periods ke dard ko door ya kam karne wale kuch gharelu nuskhe aur upay :- 

  • Alovera :- Periods ke bhayankar dard se bachne ke liye ek hafte pahle rojana Aloe Vera Gel ko khana shuru kar dijiye.
  • Gajar :- Gajar na sirf aapke aankho ke liye acchi hoti hain, Balki yeh periods mein bhi madadgar saabit hoti hain. Is dauraan ek glass Gajar ka juice peene se aaram milta hain. 
  • Adrak :- Periods shuru hone se pahle Paani mein Adrak ko ubaale aur usme Shahad mila kar piye. Isse oos dauraan hone wale dard mein aaram milta hain. Din mein 2-3 baar iss nuskhe ka istemal kare. 
  • Khatti cheezo ko avoid kare :- Periods ke ek hafta pahle se hi Khatti aur thandi cheezo se parhez karna shuru kar de. Achaar aur masaledaar khane ko bhi avoid kare, Kyonki yeh dard ko badhaate hain. 
  • Tulsi ke patte :- Tulsi ke patte periods ke dard ko door karne mein bahut hi jyada faydemand hote hain. Tulsi ki pattiyo ko garam paani mein ubaal kar usme 1 teaspoon shahad mila kar din mein 3 baar lene se dard nahi hota hain. Iske alawa tulsi ke patto ko chabane se bhi dard se chutkara paya ja sakta hain. 
  • Namak khana kam kare :- Periods mein bloating hona aam baat hain. Lekin agar aap periods se kuch pahle se hi namak khana kam kar de toh dard ki problem kam ho jayegi. 
  • Papita :- Papite mein mauzood Anti-inflammatory tatv , dard mein aaram dilata hain. Iske alawa isme Carotene, Iron, Calcium aur Vitamin A jaise Nutrients bhi mauzood hote hain, jo blood clotting nahi hone dete hain, saath hi muscles contraction ko bhi rokte hain. 
  • Lavender Oil :- Apne pet ke paas Lavender Oil lagane se pet dard aur ainthan se 10-15 minutes mein hi aaram mil jata hain. 
  • Hari sabziya :- Hari sabziya jaise Hari Pyaaz, Patta Gobhi, Methi, Palak aadi ko diet mein shamil kare. Inme mauzood Vitamins aur minerals body ki kai saari jaroorato ko pura karta hain. Saath hi inme calories ki matra bhi bahut kam hoti hain, Jisse wajan badhne ki samsya bhi nahi rahti hain. Iske alawa inke Anti-oxidants body se toxins ko bahar nikalte hain. Hari aur pattedar sabziyo ke alawa Hari Matar, Tamatar, Patta Gobhi , Avocado khane se bhi periods ka dard kam hota hain. 
  • Paani :- Periods mein bahut tez dard hone par Gungune paani mein shudhh ghee mila kar piye. 
  • Ajwain :- Kitchen mein mauzood Ajwain in dino ko bahut hi asaan bana sakti hain. Ek cup garam paani kijiye. Isme 1 chammach Ajwain daal kar ubalne de. Lag-bhag 5 minutes boil karne ke baad, ise chhankar pee le. Agar aap ubaalna nahi chahte toh , aadhaa chammach Ajwain mooh mein daal kar gunguna paani pee le. Bhooni huyi Ajwain ek cup garam doodh ke saath lene se bhi rahat milegi. 
  • Doodh :- OOn dino ke dard se bachne ke liye garam doodh peena faydemand rahta hain. Doodh mein thodi si Khaskhas mila kar piye.
  • Pineapple :- Ananas mein Bromelain jo ki Protein-Digestive enzyme ka mixture hain mauzood hota hain, Jo dard mein aaram dilata hain. Sirf Periods hi nahi yeh jodo ke dard mein bhi kargar dawaa hain. 
  • Dalchini :- Dalchini ek aisa masala hain jo minerals ka khazana hain. Jo periods ke dauraan hone wale dard se rahat dilata hain. Iske liye Dalchini powder ko Shahad ke istemal kare. 
  • Pudina :- Pudine ki pattiyo ko paani mein ubaal kar usme shahad milaye aur 2 se 3 baar piye. Isse dard mein turant rahat milti hain. Iske alawa iske tel se 15 minutes pet ki maalish karne se bhi aap dard se rahat paa sakti hain.