Header Ads

Pet ki common problems se preshan logo ko jaroor khani chahiye yeh cheeze.

Pet ki problems ko door karne ke liye
Pet khush toh sab khus, Pet mein Dard, Gas aur Acidity common problems hain. Is problems ka main reason khana theek se na pachna hain. Kai bimariyo ki ahem wajah pet hi hota hain. Pet kharab hain toh sharir bimariyo ka ghar ban jata hain. Isliye in problems se bachne ke liye kabz ko door karna jaroori hain. Agar aap in sabhi samsyaon se preshan hain, toh hum aapko batane ja rahe hain kuch natural nuskhe jo kabz aur pet ki dusri preshnaiyo ko door kar dete hain.

1. Papita :- Papita mein Vitamin A, Folic Acid, Vitamin B6 aur Vitamin B1 aadi poshak tatv paye jate hain. Isme Fiber adhik matra mein paya jata hain. Agar aapko digestive system se judi koi problem ho toh khane ke baad papita ka sewan kare.

2. Adrak :- Adrak pet ki samsyaon ke liye behtar aushidhi hain. Isme Anti-Bacterial aur Anti-Inflammatory gun mauzood hote hain. Iske niyamit sewan se Gas, Acidity, Bhookh na lagna aadi samsyaen khatm ho jati hain. Rojana ek cup subah Adrak ki chaay (Ginger tea) peene se digestion durust ho jata hain. Gas ki problem preshan kar rahi ho toh Adrak ko paani mein ubaale. Is paani ko peene se gas door ho jati hain. Adrak ke ras mein Shahad mila kar peene se bhi pet ki problems door ho jati hain.

3. Nimbu :- Nimbu mein Vitamin C adhik matra mein paya jata hain. Isliye iska sewan pet ke liye bahut hi faydemand mana gya hain. Rojana khali pet gungune paani mein Nimbu nichod kar peene se kabz nahi hoti hain.

4. Ajwain :- Ajwain pet ke liye medicine ki tarah kaam karta hain. Ajwain ko chaba kar khaye aur uske baad ek cup garam paani pee le, Pet dard theek ho jayega. Pet mein keede ho toh Kale Namak ke saath Ajwain khaye. Thoda Ajwain aur Jeera ko ek saath bhoonkar pees le. Is mishran ko paani mein  ubaal kar chhan le. Is paani mein chini mila kar peeye, Acidity se rahat milegi.

5. Seb :- Seb mein Vitamin A aur C ke saath anek poshak tatv paye jate hain. Rojana khali pet ek seb khane se Gas, Kabz aur Acidity jaisi pet ki problems door ho jati hain.

6. Pudina :- Pudina mein Anti-Inflammatory aur Anti-Septic gun paye jate hain. Pet mein dard ho toh Pudine ka sarbat ya juice bana kar peene se labh hota hain. Kacche Aam ke saath iski chutney bana kar khane se pachan se judi samsyaen nahi hoti. Pudine wali green tea bana kar peene se gas ki problem se turant rahat milti hain.

7. Aloe Vera Juice :- Aloe Vera Juice pet ke liye bahut hi faydemand hota hain. Iske sewan se Aanto se judi samsyaen door hoti hain. Diarrhea, Kabz, Ainthan jaisi samsyaon mein iska juice faydemand hota hain.