Sardiyo ke mausam mein Gajar hain bahut hi faydemand.
Gajar ka ek glass juice peena pura khana khane jitna kaam karta hain. Yeh kai rogo mein behtarin aushidhi bhi hain. Aapne aksar logo se suna hoga ki gajar khane se aankho ki roshini badhti hain. Isliye gajar khana chahiye, lekin sacchaai isse alag hain. Jee haan Gajar sirf aankho ke liye nahi balki yeh hamare sharir ke liye bhi faydemand hota hain. Gajar ke ras mein Vitamin A, B, C, D, E aur G milte hain. Yeh Piliya ke ilaj ke liye natural dawaa hain. Iska istemal blood cancer aur pet ke cancer mein kafi faydemand hota hain. Sardiyo ki yeh mausami sabzi hain. Isliye agar sardiyo mein hum gajar ka niyamit roop se istemal kare toh yeh khastaur par hamare liye bahut hi faydemand saabit hota hain.
► Rojana ek glass gajar ka juice peene se yaddasht badhti hain. Agar aap Arthritis ke mareez hain toh ek glass gajar ke ras mein ek chammach Ajmoda churan din mein 3 baar istemal kare. Gajar khoon ko saaf karti hain. Iske sewan se budhaapa door rahta hain. Mentally aur physically power dono ka vikas hota hain.
► Diabetes ke mareezo ke liye gajar amrit ke samaan hain. Ek glass gajar ke juice mein ek cup karele ka ras mila kar peene se diabetes mein labh milta hain. Aap chahe toh Ek glass Gajar ke juice mein aadha cup Amle ka ras mila kar bhi pee sakte hain, Isko aapko din mein 2 se 3 baar peene se diabetes mein kafi fayda hota hain. Gajar ke juice ke saath Palak ke juice mein thoda kala namak mila kar piye fayda hoga.
►Gajar mein fiber bahut hi acchi matra mein paya jata hain. Isliye agar gajar ko chaba-chaba kar khaye jaye toh yeh aanto ki safaai kar deta hain. Jisse kabz aur gas jaisi problems mein aaram milta hain. Gajar ka juice niyamit roop se peene se skin glow karne lagti hain.
► Jo purush kamjori se preshaan rahte hain unke liye gajar ka juice bahut hi faydemand hota hain. Medical researches ne yeh saabit kiya hain ki gajar cancer ke khatre ko kam karti hain. Garbhavati mahila aur uske hone wale bacche ke liye yeh juice bahut hi faydemand hota hain.
► Agar mooh mein chhale ho gye ho toh aise mein gajar ke ras ko mooh mein ghooma kar kulla karke, oos juice ko pee lene se mooh ke chhalo mein rahat milti hain.
► Gajar ka juice hamare sharir mein Vitamin A aur E ki kami ko pura karta hain. Inki kami se aankho ki bimariya, dry skin, baalo ka tutna, nakhoon kharab hona jaisi samsyaein hoti hain. Vitamin A hamare sharir ki haddiyo aur daanto ke liye bhi faydemand hota hain. Yeh aankhon ki kamjori ko door karta hain aur skin aur baalo ko chamakdaar aur healthy banata hain.
► Agar doodh pilaane wali maa ka doodh na ban raha ho toh Gajar ka istemal karne se maa ka doodh banane lagta hain.
► Gajar hamare sharir se zehareele tatvo ko bahar nikaal deti hain. Gajar khane se hum lambe samay tak jawan bane rah sakte hain. Agar bhookh na lagti ho, aruchi ho gyi ho toh Aise mein Gajar mein namak, nimbu laga kar Adrak aur Pudine ke saath sewan karne se bhookh lagne lagti hain.
Post a Comment