Header Ads

Sardiyo mein dhoop senkne ya dhoop mein baithne ke fayde.

Sardiyo mein dhoop senkne ya dhoop mein baithne ke fayde.Sardi ke mausam mein suraj ki kirano mein baithne ke kai fayde hain. Sardi ke mausam mein jab bhi waqt mile toh dhoop mein baithna chahiye. Isse sharir ko vitamin D milti hain aur haddiya majboot hoti hain. Iske alawa suraj ki kirane iron ki kami ko bhi door karti hain. Sharir mein iron ki kami, charm rog, kamjori, thakaavat, cancer, TB aur maanshpeshiyo ki bimari ka ilaj suraj ki kirano ke istemal se kiya ja sakta hain. France ke heart disease specialist Marshall Pogolo ka toh yaha tak manana hain ki suraj ki kirane dil ko bhi tandrust rakhti hain. 

Sardi ke mausam mein gunguni dhoop lene ka apna hi maza hain. Yeh na kewal aapko thande mausam mein garmahat deti hain, balki kai tarah ke swasthya samsyaon se bhi bachati hain. Agar aapko nahi pata toh jaroor padhiye sardi mein gunguni dhoop lene ke fayde :-

• Dhoop mein baithna sharir mein khoon jamne ki prakriya ko rokta hain aur blood circulation behtar banata hain. Saath hi diabetes aur dil ke rogo ke liye dhoop lena faydemand rahta hain.

• Dhoop mein baithne se aapko bharpoor matra mein vitamin D milta hain. Jo aapki haddiyo ke vikas ke liye jaroori hain. Iske alawa jodo ke dard aur thand ke karan hone wale sharirik dard mein bhi aaram milta hain.

• Sharir ke kisi bhi hisse par hone wale fungal infection ko theek karne ke liye dhoop lena faydemand hain. Nami ke karan hone wale bacteria ke infection ko rokne ke liye dhoop kargar hain.

• Sardi ke mausam mein dhoop lene se sabse bada fayda yeh hain ki yeh thande-thande mausam mein aapke sharir ko garmahat deti hain aur aapko sardi ke akdan se bachati hain. Dhoop lene ke baad in dino mein aapke kaam karne ki power mein ijafa hota hain.

• Neend na aane samsya hone par rojana dhoop mein baithna faydemand rahta hain. Isse aapka dimaag bhi tension free hota hain aur raat ko neend bhi acchi aati hain. Neend ke liye yeh ramban upay hain.


Lekin dhoop mein baithne se pahle in baato ka dhyaan rakhna chahiye. Paseena aane ke baad dhoop mein nahi baithna chahiye. Dophar ke baad dhoop mein baithna utna jyada faydemand nahi hain. Scientist ne apni research mein yeh saabit kiya hain ki suraj ki kirane bahari skin par apna asar nahi daalti hain balki sharir ke androoni ango mein jaa kar unhe swasth banane mein apni kargar bhoomika nibhaati hain.