Jyada Coffee peena aapke liye nahi hain sahi.
Coffee peena agar aapko bahut jyada pasand hain toh saavdhaan ho jayiye. Kai log apne din ki shuruvaat Coffee pee kar karte hain aur kai aise hain jo raat ko cofee peekar sote hain. Coffe peena aapke liye faydemand hoti hain, lekin iska matalab yeh nahi hain ki yeh aapko nuksaan nahi pahucha sakti hain. Agar aap jyada matra mein coffee ka sewan karte hain toh yeh aapko kai tarah ki preshaniya deti hain. Jaroorat se jyada coffee peena sehat ke liye accha nahi hota hain.
Aaiye aaj hum jante hain ki jyada coffee peene se sehat ko kya-kya nuksaan hote hain. What is the side-effects of Coffee in Hindi/Urdu. Coffee peene ke nuksaan kya hain? Aaiye jante hain :-
1. Pregnant woman ko nahi peeni chahiye coffee :- Pregnant aurto ko coffee peeni chahiye ya nahi is baat ko lekar experts ki ek raay nahi hain. Coffe peene se bhroon caffeine ke contact mein aata hain aur garbh mein pal rahe bacche iske prati kafi sensitive hote hain. Pregnant woman ko ya toh coffee peena chhodne ki salah di jati hain ya phir iski matra ko kam karne ki salah di jati hain. Stanpaan karwane wali mahilaon ko bhi coffee na peene ki salah di jati hain, Kyonki isse unke bacche chidchide aur bechain ho jate hain.
2. Haddiya banaati hain kamjor :- Coffee peene se Calcium gheesne lagta hain aur yeh peshab ke jariye aapke sharir se bahar nikal jata hain. Isliye coffee ke jyada sewan se haddiyo mein kamjori aane ki sambhavna rahti hain. Kareeb 1000 aisi ladies par research ki gyi jinke periods band ho chuki thi. Isse yeh pata chala ki jyada coffee peene se unki bone density kam ho gyi thi.
3. Acidity paida karti hain :- Coffee peene se pet mein kai saari problems paida ho sakti hain. Coffee ek acidic drink hain aur yeh pet mein dikkat paida karta hain. Isliye jin logo ko ulcer ki problem ho, unhe toh bhai coffee se door hi rahna chahiye.
4. Jhurriya paida karti hain :- Sharir se paani khatm ho jane ka sabse bura effect yahi hota hain. Skin mein agar moisturize rahe toh veh jawan aur fresh dikhayi deti hain. Jabki dry skin kadak aur jhurriyo se bhari hoti hain. Isliye jitni coffee piye, Paani bhi usse jyada piye, nahi toh aapki skin par jhurriya paida ho jayengi.
5. Cholesterol badhaati hain :- Coffee beans mein cafestol aur kahweol naam ke 2 chemical hote hain, jo Bad Cholesterol ko badhaate hain. Coffee ko filter karne se inse bacha ja sakta hain. Isliye jo log french press Coffee ya Turkish coffee peena pasand karte hain, Unhe filtered coffee peeni chahiye.
6. Seer dard paida kar sakti hain :- Coffee Diuretic hoti hain, yani ki yeh aapki body se paani ko sookha deti hain. Agar coffee peene ke baad aapko seer dard ki problem ho, toh kuch der mein 1 ya 2 glass paani peene ki aadat jaroor daale.
7. Jyada coffee aapki jaan bhi le sakti hain :- Kisi bhi cheez ki ati bahut buri maanti jati hain aur coffee bhi inme se ek hain. Caffeine ke overdose hone ki wajah se khas karke America mein kai logo ki jaan ja chuki hain. Haan, yeh sach hain ki overdose tak pahuchne ke liye aapko kai cup coffee peene ki jaroorat padti hain, Lekin Aisa hone ke kai saboot mile hain, jinhone bahut jyada cup coffee pee aur veh mar gye.
8. Coffee se ho sakti hain jodo ki problems :- Finland mein ek research mein yeh paya gya ki jo log rojana 4 ya usse jyada baar coffee peete thay, unme Jodo ki problems payi gyi. Researchers ka manna yeh hain ki jodo ki preshani khas karke unfiltered coffee peene se jyada hoti hain.
9. Raat mein neend nahi aane deti :- Aapne shayad gaur nahi kiya hoga ki raat ya shaam ke waqt coffee peene se aapko sone mein dikkat hoti hain. Halaki yeh iss baat par depend karta hain ki kisi aadmi ki body coffee ke kitne cup peene ke baad caffeine ke prati kitna sensitive hain. Lekin dophar ke 3 baje ke baad caffeine ka sewan na karne ki salah di jati hain, kyonki isse aapke body clock ka rhythm bigadta hain. Caffeine ka asar khatm hone mein lagbhag 6 ghante ka samay lagta hain.
10. Daanto par dhabbe paida karta hain :- Coffee mein kuch pigments hote hain jo aapke daanto ke upari parat mein sama jate hain aur daanto par permanent peele dhabbe chhod dete hain. Coffee acidic hoti hain aur aapke daanto ke enamel ko kharaab kar sakti hain. Isliye coffee peene ke turant baad brush karne ko bhi sahi nahi mana jata hain. Halaki coffee peene ke baad aap mooh ko paani se saaf kar aadhe ghante baad brush kar sakte hain.
Post a Comment