Toothpaste se jude kuch upyogi gharelu nuskhe aur uske fayde.
Sabhi log toothpaste ka istemal daanto ko saaf karne ke liye karte hain. Lekin kya aapko maaloom hain ki toothpaste hamare daant hi saaf nahi kar sakta hain, Balki yeh hamare liye kai aur bhi kaam kar sakta hain. Hum mein se jyadatar log iske gharelu nuskhe aur upyog ke baare mein bahut hi kam hi jante hain.
Aaj ki post mein hum janenge ki sabhi ke gharo mein paya jane wala sadharan sa toothpaste sirf daant saaf karne ke alawa aur kaun-kaun se kaam kar sakta hain. Toothpaste ke gharelu nuskhe (Home remedies) kya hain aur isse hame kya fayde hote hain.
• Chandi kaa samaan ho ya jewellery, inki khoyi hui chamak aur shine ko dubara vaapis le aane ke liye toothpaste bahut madad karta hain, Bas aapko ek saaf kapde par thoda sa toothpaste lena hain aur phir usay chaandi ke gahne ya bartan par ragadna hain. Phir ise aap saaf kapde se pochh de. Dekhiye kaise aapke chaandi ke gahne chamakne lagenge.
• Agar koi naya pimple ubhar aaya ho toh oos pimple par aap halka sa toothpaste lagaye aur so jaye. Subah tak aapka pimple kafi hud tak theek ho chuka hoga. Mint wala toothpaste jaldi asar karta hain. Na kewal pimple par balki jalne ya kisi keedhe ke kaatne par bhi aap paste laga sakte hain. Bas dhyaan rakhe ki hafte mein bas 2-3 baar hi ise use kare, jyada use karne par skin dry ho sakti hain.
• Table aur stool par agar paani ke daag-dhabbe aur nishaan pad gye ho toh soft toothpaste ko mulayam kapde par lekar dhabbo ko halke halke se rub kare. Dhabbe gayab ho jayenge.
• Purani caar ki headlight par agar dhoondh jam gyi ho toh kisi soft kapde ko lekar oos par thoda sa toothpaste laga kar headlight ko scrub kare. Headlight chamak uthegi.
• Phone ke girne se agar uski screen par kharoch aa gyi ho toh aap usay toothpaste se sahi bhi kar sakte hain. Bas thoda sa toothpaste soft ya mulayam kapde ki madad se kharoch wali jagah par halke se rub kare. Uske baad bahut halke geele kapde se usay pochh de. Ab scratch ko dhoondhna mushkil ho jayega.
• Leather car seats, cover, purse, jacket ya kisi bhi leather ke saamaan par pen ke nishaan mitaane ho toh thoda sa toothpaste lekar dhabbo par halke se ragade. Sookhne ke baad usay geele kapde se pochh de. Agar daag puri tarah se na bhi gye ho toh bhi yeh kafi hud tak halke ho jayenge.
• Hair colour karte samay face aur haatho par jo dhabbe pad jate hain, Unhe hatane ke liye toothpaste ka use kare.
• Apne favorite snickers shoes ki khoyi hui safedi vaapis laane ke liye bas unke safed hisse par toothpaste laga kar geele kapdo se ragad de. Daag choomantar ho jayenge.
Post a Comment