Header Ads

Sardard ke ilaj ke liye asardaar gharelu nuskhe.

Seerdard ke gharelu nuskhe.
Kabhi seer ke left side aur kabhi right side mein uthane wale ache ko jise hum migraine kahte hain , aaj ke zamane mein yeh ek gambhir bimari bankar ubhari hain, Aur yeh bimari youth ko apni chapet mein zyada le rahi hain. Garmi, Mentally tension aur kam neend ki wajah se yeh sardard ki problem mahilaon mein jyada hoti hain.

Is rog ki sabse badi problem yeh hain ki isme din mein achanak kabhi bhi tez dard ubhar aata hain jo kai baar 3-4 ghante tak bana rahta hain. Aisa yeh kabhi kabhi 3-4 din tak hota rahta hain. Isme agar aap koi medicine lenge toh dawaa ka asar jab tak rahega tab tak aapko aaram rahega, Uske baad phir se yahi samsya.

Is bimari se judi rahat ki baat yeh hain ki 60 saal ki umar ke baad yeh bimari nahi hoti hain. Yani ki migraine ka effect youth aur children par zyada rahta hain. Migraine se chhutkara paane ke liye log dawaayein khate hain, Lekin isse aapko side-effects hone ka khatra rahta hain. Hum aaj aapko aise gajab ke asardaari gharelu nuskhe aur upay batayenge jisko apna kar aapko bhayankar sardard aur migraine se kafi hud tak aaram mil jayega. Janiye tez seerdard ko door karne wale gharelu nuskhe ke bare mein :- (Home remedies for Migraine/Headache in Hindi/Urdu.)


• Maathe par Nimbu ke chhilke ka paste bana kar baandhe. Isse aapko sardard mein fayda mita hain.

• Apne khane mein hari sabziya aur fruits ka zyada se zyada istemal kare.

• Roj subah-shaam ek glass angoor ka juice piye. Yeh kafi karagar nuskha hain.

• Gajar ka ras aur Palak ka ras ko mila kar peene se migraine se rahat milti hain.

• Agar aapke seer mein tez dard ho raha ho toh roj 10-12 badam khaye. Isse aapko fayda hoga.

• Tulsi ke ras mein ek chammach Shahad mila kar khane ke pahle ya baad mein lene se migraine mein labh hota hain.

• Adrak ki chaay peene se aapko sardard mein kafi aaram milta hain. Iske liye aap Adrak ko kaat kar paani mein daal kar ubale aur iski bhaap le. Aapko bahut hi labh milega.

• Bhringraaj ki pattiyo ko Bakri ke doodh mein ubaal le. Is doodh ki kuch boonde naak mein dale. Isse seerdard se aaram milta hain.

• Agar aapke seer mein bahut jyada dard hain toh Adrak ke ras mein Nimbu ka ras mila kar din mein kam se kam 1 baar jaroor piye. Isse aapko kafi rahat milegi.

• Aadha chammach Sarso ke daane ka powder ko 3 chammach paani mein ghol kar naak ke upar rakhe. Isse kafi hud tak sardard se rahat milti hain.

• Headache se nijat dilane ke liye pudina kafi faydemand saabit ho sakta hain. Iske liye Pudina ke ras ko maathe par lagaye. Jald hi aapko labh hoga.

• Patta gobhi ko bhi pees kar Is paste ko sooti kapde mein dhang se bichha kar maathe par baandhe. Aur jab paste sookhne lage toh naya paste bana kar patti baandhe. Isse aapko seerdard mein kafi fayda milega.

• Laung bhi kafi faydemand hoti hain. Iske liye laung ke powder kapde mein baandh kar thodi der der mein soonghe. Jab tak aapko seer dard se nijat na mil jaye.

• Jaha tak possible ho toh masaledaar aur oily khane se door rahe, kyonki inko khane se seerdard ki sambhavna kafi zyada rahti hain.

• Gaay ka shuddh taaza ghee subah-shaam 2-4 chammach naak mein rooi se tapkaane se Migraine se kafi rahat milti hain.