Header Ads

Fast Food hame Kaise nuksaan pahuchate hain?

Ham-Burger PhotoJab American Scientist Michael Jacobson ne saal 1972 mein "Junk Food" word ka pahli baar istemal kiya tha to unka matlab Kabad jaise khane se tha. Unhone aise food ke baare mein samjhane ki koshish ki thi, jo swaad mein to acche lagte hain, Lekin isme paushtik tatv na ke barabar hote hain. Saath, hi yeh sehat ke liye nuksaandayak hote hain. Bharat mein fast-food ka bazaar 2020 tak 27.57 Arab dollar ka ho jayega. Indian jitni tezi ke saath is food ki taraf attract ho rahe hain, utni hi tezi se bimariyo ka khatra badh raha hain. Junk food Fat badhane ke saath dil ki kai bimariyo ke liye jimmevar hain.

Burger

Matra - 100 Gram
Calorie - 295
Fat - 14%

Burger High Calorie food hain. Yeh wajan bahut hi tezi ke saath badhata hain. Saath hi, isse cholesterol badhne ka khatra bhi hota hain. Isme upyog kiya jane wala sauce bhi Fat badhata hain. 


In 3 reasons ke karan burger hain hanikarak

1) Mayonnaise Sauce :- Ek double Hamburger mein 2.16 gram Saturated Fat aur 172 mg Cholesterol hota hain, Jabki Mayonnaise Sauce mein 3.5 gram Saturated Fat aur 26mg Cholesterol hota hain. Non-Veg Burger mein Cholesterol ka khatra aur jyada hota hain.

2) Tel aur Maida ;- Burger mein mauzood Maide se Aant aur Dil ki bimariyo ka jokhim badhta hain. Saath hi, Tel Blood mein Cholesterol aur Body mein Fat badha deta hain. Burger se Unsaturated aur Trans Fat dono hi badhte hain. Haal mein huye ek research se yeh pata chala hain ki Trans Fat janlewa sabit ho sakta hain.

3) Sodium :- Mayonnaise ke saath ek double Hamburger mein 1.08 Gram sodium hota hain, jabki ek vyakti ko ek din mein 2.3 gram se adhik Sodium nahi lena chahiye. Is tarah, Ham-Burger se  Blood pressure aur Kidney ke rogo ka jokhim badh jata hain.

Noodles 

Matra - 100 Gram
Calorie - 138
Sodium - 0.8%

Noodles bhale hi turant taiyaar kiya ja sakta hain aur yeh swadisth bhi lagte hain, Lekin yeh kai bimariyo ka paida kar sakte hain. Noodles khane se Fat tezi ke saath badhta hain, Saath hi Dil ki bimariya bhi ho sakti hain. Inme mauzood Maida Aanto ke liye nuksaandayak hota hain. Noodles ke jariye Mono Sodium Glutamate (MSG) sharir mein jata hain, Jo Kidney rog, Migraine, Hypertension aur Heart attack ka karan ban sakta hain. Inme Nutrients nahi ke barabar (lagbhag 6%) hote hain.

1. Packaging ke khatre :- Pack kiye huye Noodles bhi kam nuksaandeh nahi hote hain. Instant Noodles ko preservative ke saath boxes mein pack kiya jata hain. Band cup mein Plasticizers mil jate hain, Jisse cancer ka jokhim badh jata hain.

2. Research ki finding :- Consumer Education & Research Center ne ek research mein duniya ke 15 main Noodles brands ko shamil kiya. In noodles mein Salt ki matra jyada aur Fiber ki quantity bahut kam payi gyi. Is research se yeh sabit ho gya ki Noodles se Migraine aur Chid-chidapan ho sakta hain. Fiber ki kam matra se Colitis aur  Namak ki jyada matra se Tension ki problem ho sakti hain.

Pizza 

Matra - 100 Gram
Calorie - 151
Sodium - 6.75 Gram

Adhik Pizza khane se dil ke rogo ka khatra badh jata hain. 28 Gram ke ek pizza slice mein 18.5 Gram Fat hota hain. Yeh sharir ko rojana milne wale daily Fat ka 28% hota hain.  American Agriculture Department ki ek report ke anusaar ki Namak (Sodium) ke 3 big source mein pizza bhi ek hain. 10 inch ke ek small cheeze pizza mein lagbhag 1200 Calorie hoti hain.

1. Research Ki  Finding ;-  Pizza banane mein istemal kiya jane wala Anaaz Pet ki charbi ko badhata hain. Yeh ghatak ho sakta hain. Yeh baat American Journal of Clinical Nutrients ke research mein sabit hui hain. Isi tarah, Howard Medical School mein hui ek study ke anusaar Pizza khane se aant sambandhi bimariyo hone ki sambhavna kafi badh jati hain, vahi Abdominal Fat se Type-2, Diabetes, Breast Cancer aur Dil ke rog hone ka jokhim hota hain.

Fast Food baccho ke liye hain ghatak :- 

International Study of Asthma & Allergies in Childhood ne ek survey kiya hain. Isme se 100 se adhik countries ke 6-7 aur 13-14 saal ke kareeb 5 Lakh bacche shamil kiye gye. In survey ke anusaar, Junk Food khane wale baccho mein allergy, Rhinitis aur Eczema ke mamle jyada dekhe gye.    

Fast Food ke yeh Viklap (Option) acche sabit ho sakte hain :- 

1. MultiGrian Roti :- Yeh bacche aur bade sabhi ke liye faydemand hote hain. Yeh low calorie aur sugar free hota hain. Isme Wheat biscuits, High Fiber Cookies aur dusre Bakery products istemal kiye ja sakte hain.

2. Corn :- Corn Junk Food ka good option hain. Isme Carbohydrate, Protein, Vitamins aur anya minerals hote hain. Sweet ya baby corn bhi salad aur soup ke saath istamal kiye ja sakte hain.

3. Daliya :- Daliya na sirf sharir ko energetic rakhta hain, Balki yeh wajan par bhi kaboo rakhta hain. Namkeen aur Meetha, dono tarah ka daliya Junk Food ko better option ho sakta hain.