Intex ne 4,799 rupaye mein lauch kiya Cloud M5 II
Indian Smartphone maker company Intex ne ek naya smartphone Cloud M5 II launch kar diya hain. Agar aap low price range mein ek achche aur tikaau phone ke launch hone ka wait kar rahe thay to yep phone aapke liye sahi vikalp ban sakta hain.
Intex ka Low Price smartphone
Intex ne apni smartphone range mein Cloud M5 II ke roop mein ek aur smartphone ko shamil kar liya hain jo Flipkart par sirf 4799 Rupees mein available hain. Agar is device ki takniki khubiyo ko dekha jaye to yeh phone 5inch ki 854 X 480 p resolution wali screen deta hain. Iske alawa is device par Android Kitkat ka 4.4.2 version hain jo ki ek updated operating system software hain. Halaki ki is price range se thoda upar uthne par aapke paas Moto E jaisa vikalp bhi hain jo Lollipop OS deta hain.
Tez hain processing speed
Is price range mein available phone ke compression mein is phone ki task processing speed kafi khush kar sakti hain. Processor 1.2GHz ka hain jo 1 GB RAM ke saath aata hain. Is configuration ke saath yeh device achchi speed degi. Agar camera ki baat kare to Rear Camera 5MP ka hain to Front camera 1.3 MP ka hain, Jisse achchi selfie click ki ja sakti hain. Company ne 16 GB ki internal Memory di hain Jise Micro SD card ki madad se 32 GB tak badhaya ja sakta hain.
Battery bhi hain Badhiya
Agar is smartphone ki battery ki baat ki jaye to aapko 2,000 mAh ki battery milegi, Jo lamba stand by time dene ke liye bani hain. Connectivity ke lihaj se is Smartphone mein 3G, Bluetooth, Wi-Fi 4.0, GPS aur FM radio diya gya hain. Iske saath hi phone mein clean Master , Ask Me aur OLX jaisi Apps pre-installed hain.

Post a Comment