Spice Stellar 518 Sirf 4,999 rupaye mein hua launch.
Mobile handset banaane wali company Spice ne apne Stellar smartphone series ko aage badhaate huye Stellar 518 ko Indian market mein launch kar diya hain. Company ne is smartphone ko officially Launch Home Shop 18 par kiya hain. Ise 4,999 Rupees ki keemat par becha ja raha hain. Aapko bata de ki company is phone ko officially launch se pahle hi E-commerce website par pahle se hi bech rahi hain. Company ne ise 7,799 Rupaye ki keemat par bechna shuru kiya tha Lekin ab iski Keemat mein 2800 Rupees ki katauti karte huye 4,999 Rupaye mein launch kar diya hain.
Spice ka yeh smarphone Android ke Kitkat 4.4 Operating System par kaam karta hain. Aapko bata de ki alag-alag colour ke variant ke liye price alag-alag rakha gya hain.
Kya hain Features
IPS touch screen ke saath company ne phone mein 5inch ka display diya hain jo (480x854 pixel) ka resolution deti hain. Power ki baat kare to Stellar 518 1.3 GHz Quad Core processor ke saath aata hain.
Ismein 1 GB ki RAM di gyi hain. 8GB ki internal memory ke saath is phone mein Micro SD Slot diya gya hain jiski madad se Memory badhaai ja sakti hain.
Camera feature ki baat kare to is phone mein Auto Focus ke saath 8 Megapixel ka rear camera diya gya hain. Halaki selfie camera ismein 1.3 Megapixel diya gya hain.
Battery ki baat kare to company ne isme 4000 mAh power ki battery di hain. Battery ke talk time aur stand by time ke baare mein company ke taraf se koi jankari nahi di gyi hain. Spice ka yeh smartphone Dual Sim feature deta hain.
Connectivity ki baat kare to is phone mein 3G, Wi-Fi, Bluetooth aur FM Radio hain.
Post a Comment