Header Ads

Mosambi khane ke fayde (Benefits of Sweet Lime, Sweet Lemon, Sweet limetta)

MosambiSouth East Asia mein paye jane wali Mosambi Garmiyo ke masam mein sabse jyada khaye jane wale phalo mein se ek hain. Iske chhilke utaarkar ise sabut khane se jyada log iska juice peena pasand karte hain. Hare rang ke khatte-meethe swaad wala yeh phal pakne par peela nazar aata hain. Yeh kafi Kuch Nimbu aur Santre ki tarah lagta hain. Aaiye jante hain Mosambi mein sehat ke kitne saare gun chhupe huye hain.

Mosambi se hone wale labh ( Mosambi Juice peene ke fayde ) 


Pachan mein faydemand 

Mosambi mein flavonoids ki bharpoor matra kisi bhi prakar ke bhojan ke pachan mein bahut hi jaroori hota hain. Isliye Apach, Gas aur pet mein marod jaisi samsya hone par Mosambi ke juice ko peene ki salah di jati hain. Iska juice peene se pet mein pachaane wale jaroori enzymes paida hote hain. jo bekar toxins ko bahar nikaal kar pachan kriya ko sahi rakhte hain. Iska khatta-meetha taste ulti aur dast jaisi problems ko bhi door rakhta hain. 


Kabz se rahat dilati hain 

Mosambi mein maujood Acids sharir ke hanikarak tatvo ko bahar nikalte hain. Saath hi ismein maujood fibers kabz ki samsya se joojh rahe vyakti ko rahat dilate hain. Iske juice mein thoda sa namak mila kar peene se kabz se rahat milti hain. 

Immune system sahi rakhti hain

Rojana iske sewan se immune system sahi rahta hain. Saath hi dil ki bimariyo ka khatra kam rahta hain. Blood circulation ko sahi rakhne ke saath ismein maujood Vitamin C ki bharpoor matra kai tarah ke infection jaise sardi khansi se ladne mein sahayak hoti hain. 


Scurvy rog se bachata hain

Vitamin C ki kami se hone wala rog hain Scurvy. Iske karan masoodo mein sujan aa jati hain. Saath hi khoon bhi nikalta hain, Aur to aur moonh mein chhale, honth fatne jaise kai prakar ki problems paida ho jati hain. Sirf kuch dino tak lagatar Mausambi ka juice peekar is samsya se chhutkara paya ja sakta hain. Iske juice mein thoda sa paani aur kala namak dalkar peena faydemand hota hain. Yaha tak ki ise peekar saans se aane wali badboo ko bhi door kiya ja sakta hain.

Baalo ko hone wale fayde

Mosambi mein maujood kai saare faydo ke karan companies ab ise cosmetics mein  bhi istemal karne lagi hain. 


Anti-Septic aur anti-bacterial 

Mosambi in dono ki achchi-khasi matra hone ke karan yeh baalon ke kafi faydemand hain. Ise khane ke saath iska juice peene se baalo mein chamak aa jati hain. Saath hi baal bhi majboot hote hain. 

Dandruff khatm kart hain. 

Mosambi ke ras ka istemal karke baalo se dandruff ki samsya ko khatm kiya ja sakta hain. Iske ras mein maujood kai saare tatv rusi rokne ke saath hi lambe aur ghane baalo ke liye faydemand hote hain.

Do munhe baal 

Dhool, Pollution aur badlte mausam ke chalte lagbhag sabhi ko do-munhe baalo ki samsya ho jati hain, Lekin thodi si savdhani barat kar ise door kiya ja sakta hain. Khane ke pahle ya baad , Din mein kisi bhi ek waqt rojana Mosambi ka juice piya jaye to Baalo ko do munhe hone se bachaya ja sakta hain. 

    
Mosambi se tavcha ko hone wale labh 

Health and hair ke alawa Mosambi mein aise kai saare Nutrients mauzood hote hain, jo Skin ke liye bahut hi faydemand hote hain. Iski meethi khusboo, Ismein maujood Vitamin C ki matra , Yaha tak ki iske gude ka istemal bhi kai saare beauty products ko banane ke liye kiya jata hain. Iske saath hi yeh rough aur dull Skin ke liye moisturizer ka kaam karte hain.

Anti-Aging ka kaam karti hain. 

Mausambi ke ras mein kai saare aise tatv mauzood hain jo tavcha ki gahraai mein jaakar safaai karte hain. Isse chehre par hone wale keel-muhanse , Daag-dhabbo se chhutkara paya ja sakta hain. Saath hi tavcha soft bhi bani rahti hain. Isse chehre par asamay dikhne wale budhape ko roka ja sakta hain.


Hontho ke kalepan ko door karta hain 

Iske ras ki 3-4 boonde rojana hontho par lagane se kalepan ki samsya kuch hi dino mein kam kiya ja sakta hain. Saath hi isse lips soft bhi hote hain.


Tavcha mein nikhar lati hain. 

Vaise to iska juice peena bahut hi faydemand hota hain, Lekin iske juice ko besan mein mila kar chehre ke liye ek khas paste bhi taiyaar kiya jata hain. Is paste ko chehre par 15 se 20 minutes tak laga kar rakhe. Sukhne ke baad ise thande paani se dho le. Hafte mein do baar aisa karke kuch hi dino mein asar dekha ja sakta hain.