Header Ads

Online in tariko ka istemal karte hain hackers.

Online Hacking SafeSmartphones aur PC ka upyog kai karano se hota hain. Jinme mukhya hain, Social Website ka prayog, E-shopping aur Net surfing. Magar kai baar Internet istemal karte huye kuch log dhokha dhari ka shikar ho jate hain. Aisa isliye hota hain, kyonki anjane mein aisi ek galti ho jati hain, Jisse hackers ko Online Fraud karne ka mauka mil jata hain. Ek nazar aise hi tariko par daale , taki na hona pade online fraudness ka shikar :-



Attractive Ads :-

Kai baar kisi website ko kholne par aise ads dikhai deti hain , jo users ko attract karti hain. Is Ads mein mehangi vastu saste daam par bechi ja rahi hoti hain. Aisi ads kai baar aapko galat vastu ya phone aur PC mein Malware aur virus install kar deta hain, aur aapki jankari ko niji nahi rahne deta hain. Kai baar Hackers Adult photos aadi ke roop mein ads dete hain. jinhe click karne par aapke PC ya smartphone par Virus aa jata hain. Jyadatar Hackers Porn aur Adult Material ka upyog ya Free mein Paid software aadi ka lalach dikha kar aapke PC ya smartphone mein Malware Install kar dete hain. In sabhi cheezo par  aapko dhyaan dena chahiye.


Credit Card :- 

Agar kisi vyakti dwara yeh kahte huye Credit card ki jankari mangi jaye ki main Bank se bol raha hoon. To usay apne credit card ki jankari mat de. Aur turant bank jakar iski shikayat kare. Kyonki kai baar kuch log aapke credit card ki jankari lekar aapka bank khata saaf kar dete hain. 


Third Party Apps:- 

Internet istemal karte samay third party apps se savdhaan rahna chahiye. Kai baar smartphone aur tablets par Third Party Apps ke install se private jankari hackers tak pahuch jati hain aur dhokha dhari hone ke chance ban jate hain. Isliye Apps ko install karte waqt Smartphone ke App storage ka istemal kare. 


Virtual Keyboard : -

Bank ya phir Payment karne vali adhiktar sites par Virtual keyboard ka option hota hain. Jitna ho virtual keyboard ka istemal kare, Kyonki yeh tarika sabse safe hain.