Header Ads

Palak ke fayde aur upyog (Benefits of Spinach)

SpinachPalak ek pattiyo wali bhaji hain, Jo apne gunkari asar ke chalte pure bharat mein mashoor hain. Desh bhar mein iski kheti ki jati hain aur ise bade hi chaav ke saath khaya jata hain. Iska Vanaspatik naam Spinacia oleracea hain. Palak mein Vitamin A, B, C aur E ke alawa Protein, Sodium, Calcium, Phosphorus, Chlorine, Thiamine, Riboflavin aur Iron paye jate hain. Aadiwasi ise anek nuskhe ke taur par ajmaate hain. Aaj jante hain Palak se jude herbal nuskhe ke baare mein. 



Thyroid khatm karne ke liye 

Thyroid mein ek pyaala Palak ke ras ke saath 1 chammach Sahad aur chauthaai chammach Jeere ka churan mila kar peene se labh hota hain. 


Colitis aur baalon ki samsya ke liye 

Aadiwasiyo ke anusaar Kakadi , Palak aur Gajar ki saman matra lekar Uska juice taiyaar karke peene se baalo ka badhna shuru ho jata hain. 

colitis ki samsya mein Palak aur Patta Gobhi ke patto ka ras kuch dino tak lagatar peene se araam milta hain.


Blood pressure aur Asthma ke liye

Low blood pressure ke rogiyo ko Palak ki sabzi khani chahiye. Yeh khoon badhaane ke saath Blood ke circulation ko control karne mein madad karta hain. 

Palak ke Ek glass juice mein swaadanusaar sendha namak mila kar peene se dama aur saans sambandhit rogo mein labh milta hain. 


Saans aur moonh ki badboo door karne ke liye

Heart patient ko har roj 1 glass palak ke juice ke saath 2 chammach sahad mila kar peena chahiye. Yeh bahut gunkari hota hain. 




Palak ke juice se kulla karne se Daanto ki samsya aur moonh ki samsyaon mein araam milta hain aur moonh ki badboo door ho jati hain. 




Anemia aur Piliya ki shikayat hone par 

Jinhe Anemia ki shikayat ho Unhe har roj Palak ka juice (1 glass) din mein 3 baar jaroor lena chahiye. 


Piliya ke dauran rogi ko palak ke ras ko kachche papite mein mila kar diya jaye to kafi fayda hota hain. Aadiwasi Piliya ke rogi ko Chhilke wali Moong daal mein palak dalkar taiyaar ki gyi sabzi ko khilate hain. 




Palak ke patto ka ras aur Nariyal paani saman matra mein mila kar subah-shaam liya jaye to pathari ghul kar bahar nikal jati hain.