Header Ads

Papita khane ke fayde (Benefits of Papaya)

papayaPapita jitna khane mein tasty hota hain , Utna healthy bhi hota hain. Saath hi ismein aise tatv maujood hote hain jo kai saari bimariyon se ladne mein kargar hote hain. Kacche papite mein vitamin a aur c bharpoor matra mein paya jata hain. Yeh garmiyon mein thandak pahuchane ke liye khaya jata hain. Papite ka juice , iska guda aur iske beej sabkuch labhdayak hote hain. Aajkal fruits chat ke taur par papite ka istemal kiya ja raha hain. Papita pachan sambandhit dikkato ko door karke, Piliya, Harniya, fertility badhana, Heart aur cholesterol ke rogiyo ke liye bahut hi faydemand hain.  Aaj hum papite ke guno ke baare mein janenge.



Papite ke gun 

1. Blood pressure control karne ke liye :- Papita high blood pressure ke rogiyo ke liye bahut hi faydemand hota hain. kyonki ismein carpan naam ka ek tatv paya jata hain jo blood pressure ko control karta hain. Blood pressure ki shikayat hone par rojana 1 kachcha papita khana chahiye. 

2.Dil ke mareezo ke liye :- Dil ke rogiyo ke liye bhi papita bahut faydemand hota hain. Papite ke patto ka kadha bana kar rojana 1 cup peene se iska asar dekha ja sakta hain. 


3. khoobsurat chehre aur jhuriyon ke liye :- Khubsoorati badhane ke liye bhi papite ka istemal kiya jata hain. Papite ko chehre par ragdne se tavcha ki kai prakar ki problems door ho jati hain. Hafte mein 2 se 3 baar iska istemal karne se skin glow karne lagti hain. Aajkal market mein available kai saare beauty products mein bhi papite ka istemal kiya gya hota hain. 


4. Anti-aging ke liye :- Samay se pahle jhuriya aana budhape ki nishani hain. Mahilaon mein yeh samsya sabse jyada dekhi jati hain. Isse bachne ke liye pakke huye papite ke gude ko masalkar facewash ki tarah pure chehre par lagye aur aadhaa ghanta tak rahne de. Sukhne par Gungune paani se chehre ko dho le. 1 mahine tak aisa karte rahe, aapki skin young dikhani dene lagegi.

5. Kabz aur bavasir ke liye :- Kabz aur bavasir jaisi samsyaon ko papita kha kar door kiya ja sakta hain. Iske liye rojana ek paka hua papita khana chahiye. 


6. Masik dharm niyamit rakhta hain :- Periods mein jin mahilaon ko jyada preshani hoti hain ya phir periods aniyamit hota hain, Unhe 250gram pake huye papite ka sewan rojana 1 mahine tak karna chahiye. Isse masik dharm sambandhit preshaniya door ho jati hain. 


7. Kamjori door karne ke liye :- Papita kamjori door karne ke liye bhi upyogi hain. Yeh purusho ki kamjori ko door karta hain, unke paurush tatv ko badhata hain aur unhe ander se strong banata hain. 


8. Piliya hone par : - Piliya rog mein liver kamjor ho jata hain. aur uske kaam karne ki power bahut kam ho jati hain, Jisse immunity par asar padta hain. Isliye Liver ka dhyaan rakhna bahut hi jaroori hain. Piliya rog mein har roj ek paka papita jaroor khana chahiye. Isse pachan sahi rahta hain, aur Piliya rog se bhi chhutkara milta hain.