Header Ads

Garmi ko beat karne ke liye piye inhe bhi.

Fruits JuiceEk aadmi ko kitna paani peene ki jaroorat hoti hain ? yeh bilkul fix nahi hain kyonki har sharir ki apni ek alag jaroorat hoti hain, Aur vah oos hisab se paani peeta hain. Iske alawa paani peene ki matra anya kai baaton par bhi nirbhar karti hain jaise, Umar, Tapman, Bimari, Khel-kood, Sharirik Gatividhi. Kewal Paani hi aisa pay nahi hain, Jo sharir mein paani ki kami ko pura karta hain, Balki aise anya kai drinks available hain, Jo hame Hydrate rahne mein madad karte hain aur saath hi poshan bhi dete hain. Kaun se hain ve drinks aaiye jante hain. 



Garmiyo mein inhe bhi ajmaye ;- 


1. Nariyal Paani :- Paani ke baad yahi ek aisa natural drink hain jo pyaas bujha sakta hain. Isme Potassium aur Magnesium bhari matra mein paya jata hain. Iske alawa isme bahut kam Calorie hoti hain. Yeh bilkul natural roop se milta hain, Na koi packaging hoti hain aur na hi koi processing. Isliye jab bhi aapko lage ki aapko paani ki jaroorat hain aur Nariyal paani aapke samne hain to bina kisi jhijhak ek pura nariyal paani pee daliye.


2. Fresh Lime Juice :- Dusra Natural drink hain Nimbu ka ras, Jise turant nichodte hi peena sehatmand hota hain. Isme Vitamin C paya jata hain. Isme shahad milayenge to yeh natural sweetener ka kaam karega. Lime juice ko taiyaar karte samay is baat ka dhyaan rakhe ki paani saaf ho. Dekha jata hain ki kai log ise subah peete hain, par Lime juice ko din bhar kabhi bhi aur kai baar piya ja sakta hain.


3. Taza phalo ka ras :- Juice peene se vahi labh hota hain, jo pura phal khane se hota hain. Lekin yeh hain ki juice mein resha nahi hota hain. Ve log jo mehnat wala kaam karte hain aur jinko turant shakti ki jaroorat padti hain, ve phal ka juice pee kar takat pa sakte hain. Bina Chini ke juice peena jyada faydemand hota hain, Kyonki phal mein uski natural sugar pahle se mauzood hota hain. Iske alawa agar chini daal kar juice piya jaye to usme calorie ki matra badh jati hain. Phal ka ras aap kabhi bhi khane ke pahle ya baad mein pee sakte hain, Par dhyaan rahe ki vah saath-suthre tarike se nikala gya ho.


4. Fruits Smoothies :- Smoothie  taiyaar hoti hain, Doodh, Dahi, Shahad aur Fruits se. Yeh na kewal garmi se rahat dilati hain, Balki isme bhara hota hain khoob sara poshan. Isko peene se body ko energy, Protein aur minerals milte hain. Iske alawa aapka wajan kam hain aur agar aapko wajan badhana hain, To kewal doodh aur dahi se banai gyi smoothie ko bhojan ke beech mein khaye, Aapka wajan jaroor badh jayega.