Header Ads

Kya hain Vitamin A aur kya hota hain iski kami se ?

Vitamin AVitamin A do forms mein paya jata hain : Retinol aur Carotene. Vitamin A aankhon se dekhne ke liye bahut hi jaroori hota hain. Saath hi yeh bimari se bachne ke kaam aata hain. Yeh Vitamin body ke kai parts jaise Skin, Baal, Nakhoon, Daant, Masooda aur haddi ko normal banaye rakhne mein madad karta hain. 



Vitamin A ke upyog 

Acchi sehat ke liye yeh sabse mahtavpurn Vitamin hain. Yeh aankho ki roshini ko tez kar ke uski maanspeshiyo ko majboot banata hain. Aaiye jante hain iske upyog :-

1. Yeh Bhroon ki normal growth aur development ke liye bahut hi accha mana jata hain. 

2. Tavcha ke liye swasthvardhak hota hain.

3. Khoon mein Calcuim ke level banaye rakhne ke saath haddiyo ke liye bhi jaroori hain. 

4. Haddiyo, Daant, aur masoodo ke rakh-rakhaav ke liye jaroori hain. 

5. Energy paida karne ke liye sabhi koshikaaon ko iski jaroorat padti hain. 

Vitamin A ki kami ke lakshan 

Kaan mein phoda hona, Sukhe Baal, Sukhi tavcha, Chronic Diarrhea, Sardi-jukham, Thakaan, Neend na aana, Night Blindness, Pneumonia, Prajanan mein kathinaai, Sinus, Kamjor daant, Wajan mein kami . 


Vitamin A ke source 

Yeh Chukander, Saag, Brokali, Sabut Anaaz, Paneer, Giridar phal, Butter, Gajar, Mirch, Dairy products, Hari pattedar sabziya, Anda, Beans, Rajma, Meat, Aam, Sarso, Papita, Dhaniya, Cheeku, Matar, Kaddu, Lal Mirch, Sea-Food, Saljam, Tamatar, Shakarkand, Makai ke daane (Bhutta), Peela ya Orange colour ke fruits, Cod Liver Oil mein bharpoor matra mein paya jata hain.

Savdhaani 

Jyada Vitamin A lene se sharir par anek tarah ke side-effects ho sakte hain jaise ki Sirdard, Dekhne mein dikkat, Thakaavat, Dast, Baal girna, Skin kharab ho jana, Haddi aur jodo mein dard, Kaleje ko nuksaan pahuchna aur Ladkiyo mein asamay periods.
Garbh ke dauran khas savdhani - Jaroorat se jyada Vitamin A lene se pet mein palte bacche ko nuksaan pahuch sakta hain.