Jamun khane ke fayde (Benefits of Jamun)
Jamun khane ke fayde agar aapne google par search kiya hain, Jamoon khane ke fayde (labh) to is post ko jaroor padhe. Jamun khane ke labh, fayde... Indian blackberry ke fayde....
Garmiyo ke mausam mein milane wala tasty fruit Jamun sehat ke liye faydemand to hota hi hain, Yeh kai prakar ke bimariyo mein bhi kargar hain. Jamun Pet dard, Pet mein marod aur Urine se related kai problems se rahat dilwata hain. Iske alawa Jamun ke Vinegar ka upyog Diarrhea, Kabz aur Acidity ko door karne ke liye bhi kiya jata hain. Isme mauzood Polyphenolic tatv ka istemal Cancer, Dil ki bimariyo, Diabetes, Asthma aur Arthritis ke ilaj mein hota hain. Jamun ko Jambul, Jambs, Jamboo, Black Plum, Jamali, Jambolan aadi kai naamo se jana jata hain.
Jamun khane ke labh aur fayde
Diabetes se rahat
Jamun ke saath iski pattiyo mein mauzood Anti-Diabetic tatv Diabetes ke rogiyo ke liye bahut hi kargar hain. Jamun Starch ko energy mein badal kar sugar level ko control karta hain. Garmiyo ke mausam mein rojana iska sewan karna bahut hi faydemand hota hain. Research mein yeh baat samne aayi hain ki Jamun ke beej mein alcohol ki kuch matra mauzood hoti hain. Ise sukha kar khana diabetes ke mareezo ke liye bahut hi labhkari mana jata hain.
Pet ke chhale door hote hain
Jamun khane se pet ki kai bimariyo mein rahat milti hain. Jamun ki pattiyo ko acche se chaba kar khane se Diarrhea aur pet ke chhalo se chhutkara milta hain. Kai saare Ayurvedik faydo se bharpoor hain jamoon ka phal. Yeh Liver damage ki problem ko bhi door karta hain. Isme mauzood bio-chemical aur Fight-o-chemical tatv jaise Polyphenol cancer se ladne mein sahayak hote hain. Kale Namak aur Bhune Jeere ke saath iske beej ka powder khane se Acidity mein rahat milti hain.
Tavcha ki rangat barkarar rakhne mein
Jamun ke beejo ka istemal pimples ki samsya ko door karne ke liye kiya jata hain. Beejo ko pees kar isme thoda doodh mila kar paste taiyar kare. Raat ko sone se pahle ise chehre par laga le aur subah uthkar ise paani se dho le. 5-6 din tak lagatar istemal karte hi aapko fark nazar aana shuru ho jayega. Oliy skin ke liye Jamun ka guda, Amble ka Juice aur Gulab Jal ko ek saath mila kar lagana chahiye. Isse na sirf Pimples, Balki skin ke daag-dhabbe bhi door hote hain.
Khoon ki kami ko door karta hain
Jamun mein Vitamin C ki bharpoor matra maujood hoti hain. Saath hi isme Iron bhi hota hain, Jo khoon ki kami ko door karta hain. Yeh blood purify bhi karta hain. Jin logo ko khoon ki kami ya Anemia ki shikayat ho, Unke liye jamun ka sewan karna faydemand hota hain.
Oral Health ke liye faydemand
Jamun ki pattiyo ka Anti-Bacterial gun daanto aur masoodho ko majboot banata hain. Saath hi gale ki kai tarah ki problems ko bhi door karta hain. Pet ke chhalo se joojh rahe mareezo ko jamun khana bahut hi labhdayak hota hain. Brush karne par masoodho se khoon nikalne ki samsya aam baat hain. Isse kai tarah ke infection bhi ho jate hain. Jamun khane se ye samsya nahi hoti hain. Isliye doctor ke paas jane se bachne ke liye aaj se hi Jamun khana shuru kar dijiye.
Healthy heart ke liye
Khane-peene ki laparvaahi aur bhojan mein cholesterol ki jyada matra dil ke liye bahut hi khatarnaak hoti hain. Jamun mein potassium ki acchi-khasi matra mauzood hoti hain. Iske per 100 gram mein 55 mg Potassium hota hain, Heart ke saath hi blood pressure ko control karta hain aur Heat stroke se bachata hain. Rojana iske sewan se Arteries ke hard hone ki sambhavna nahi rahti hain.
Jamun ke jyada sewan se hone wale nuksaan (Jamun ke nuksaan)
- Garbhvati mahilaon aur doodh peelane wali maaon ko Jamun ka sewan nahi karna chahiye.
- Khali pet Jamun khana Khatarnaak sabit ho sakta hain.
- Jamun khane ke turant baad Doodh peene se bachna chahiye.
- Jyada matra mein Jamun khane se dard aur bukhaar jaisi samsyaen paida ho sakti hain. Iske saath hi yeh Gale aur seene ke liye bhi nuksaandayak hain.
- Bahut matra mein Jamun khane se Khansi ho jati hain aur yeh fefde ke liye bahut hi nuksaandeh sabit hoti hain.
- Jamun Blood sugar ke level ko control karta hain, Isliye kisi bhi tarah ki surgery ke baad Jamun khane se bachna chahiye.
Post a Comment